Aap sabhi ko ye toh pata hi hoga ki hosting kya hoti lekin phir bhi aaj me aapko iske baare me full detail me batane ja raha hun ki web hosting kya hai aur ye kaise khareedte hain.
Table Of Contents
Web Hosting Kya Hoti Hai
Web hosting ek tarah ka computer hai jaise aapko pata hai ki apna data save karne ke liye hume computer memory ki zaroorat hoti hai usi tarah agar hume apni website banani hai toh uske liye hosting khareedna hogi
agar aap apne blog blogger par banayenge toh aapko hosting ki zaroorat nahin padhegi kyunki blogger ki khud ki hosting seva uplabdh hai
lekin agar aap blogger par Blog banaoge toh aap sab kuch asani se use nahin kar sakte isliye me aapko advice de raha hun ki aap wordpress par blog banaye aur sabse pehle web hosting khareede
Web Hosting Kahan Se le
Internet par web hosting bechne wali kaafi saari sites hain jaise—
- Godaddy.com
Hostgator.com
Bigrock.in
Aur bhi bahut saari sites hai lekin ye un sabse better hain. aap direct in sites par jaakar hosting khareed sakte ho.
Hostgator Se Hosting Kaise Khareedte Hain
1. First go to Hostgator.com website
2. Yahan par aapko Get Started Now par click karna hai
2. Get started now par click karne ke baad aapko plan choose karna padega jo aap khareedna chahte ho
yahan par 3 plan diye gaye hain aapko jo accha lage aap use kar sakte ho
- Hatchling Plan-Is plan me aapko sirf single domain name diya jayega aur unlimited disk,unlimited transfer aur unlimited email diye jayenge
- Baby Plan– Baby Plan me aapko unlimited domains ke saath sabhi kuch unlimited diya jayega.ye plan mere hisaab se sabse better rahega aapke liye
- Business Plan– Ye plan https:// security ke liye hota hai agar aap is plan ko khareedte ho toh aap security milegi aur ssl certificate milega
3.Aapke browser me ek notice box aayega agar aap new domain lena chahte hain toh no kare aur agar aapke paas old domain hai toh yes par click kare aur apna domain name daale
4.Your Order Summary – Aap hosting kitne dino ke liye khareed rahe ho uska time set kare,aap jitne jyada dinon ke liye buy karoge aapko utna hi jyada discount milega lekin chaliye pehle hum 1 month ke liye khareedte hain
Continue par click kare
5. Ab aapko login karne ke liye kaha jayega
Agar aapka hostgator account bana hua hai toh aap login kare aur agar aapka account nahin hai toh aap create an account par click kare
6. Login karte hi aap payment option par pahunch jaoge.
7. Service choose karne ke baad aapko apni poori detail deni hai.
Yahan aapko apna sab kuch sahi – sahi bharna hai
- Payment karne ke liye platform select karo ki aap payment kis cheej se karna chahte ho
- Apna bank select kare jisme aapka account ho
- apne debit card ka no. daalna hai
- Apne card ka name likhna hai jo card par hai
- Apne card ka cvv no.daalna hai(cvv number card ke peeche hota hai jo 3 number me hota hai)
Ab aapse OTP verification code daalne ko kaha jaayega jo aapke us mobile number par aaya hoga jo aapke bank account se connected hai
Verification karte hi aapki saari steps poori ho jayengi aur aap successfully hosting khareed chuke hoge
Plz post ko share zaroor kare apne doston ko aur comment me bataye ki aapko post kaisi lagi