Jio Sim Ki Internet Speed Kaise Badhaye – Tricks In Hindi

Jio Sim Ki internet speed kaise badhaye - tricks in hindi

Jio sim ki internet speed kaise badhaye – jabse Jio ne India me kadam rakha hai tabse sabhi sim company ki demand kam ho gayi hai kyunki Jio apne users ko sab telecom company se saste plan provide kar rahi hai lekin Jaise Log is time kam paison me internet ke full maze le rahe hain usi tarah Kuch jagah par internet ki speed itni slow aati hai ki log tang aa chuke hain aaj hum aapko kuch aisi trick batayenge jinke jariye aap Jio ki internet speed increase kar sakte ho.

Agar aapke phone me jio ki speed theek aati hai toh aap is trick ko padhkar bhi apne phone me koi setting na kare aisa karne se aapki net speed kam bhi ho sakti hai isliye ye trick sirf wahi users use kare jinki internet speed kam aati hai.

Jio Sim Ki Internet Speed Kaise Increase Kare

Doston Is post me aapko jio internet speed increase karne ke 2 tareeke jaanne ko milenge jo dono best hain doston trick ko jaanne se pahle ek baat aur jaan le ki ye trick har baar kaam nahin karti kabhi – kabhi kaam karti hai isliye is trick ko use karne se pahle aap apne phone me Speed checker naam ka ek application install kar aur internet speed check kar le phir is trick ko use karke internet speed check kare.

Read also – Jio Sim Me Kitne MB Data Hai Bina My Jio App Ke Kaise Jaane

Method 1. APN Setting Change Karke Internet Speed Increase Kare

Agar aapko aapke phone ke is time ki APN setting se speed nahin mil rahi hai toh aap neeche di gayi APN Setting se internet speed badha sakte hain APN setting change karne ke liye aapko Apne android phone ki setings >> More >> Mobile Network >> Access Point Names par click karna hai yaani APN ab yahan par aapko aapke apn ki old settings hoyi hui dikhengi wahan par aapko neeche di gayi settings karni hai toh chaliye jaante hain ki aakhir woh kaun si settings hain.

  • Name – Jio Speed
  • APN – Jionet
  • Proxy – No Change
  • Port – No Change
  • Username – No Change
  • Password – No change
  • Server – www.google.com
  • MMSC – No Change
  • MCC – 405
  • MNC – 83 ya 874 ya 857
  • Authentication Type – No Change
  • APN Type – IPv4/IPv6

Ye sab settings karne ke baad aapko save kar dena aur apne phone ko restart karke on karna hai aur interent speed check karna hai speed checker software se agar speed badh gayi toh theek hai nahin toh aap neeche di gayi trick ko bhi use kar sakte hain aaiyye jaante hain.

Read Also – Jio 4G Sim Card Ko 3G Smartphone Me Kaise Chalaye

Method 2. Bearer Setting Change Karke Internet Speed Increase Kare
  1. Sabse pahle aapko Network Mode change karna hai uske liye aapko Settings >> More >> Mobile Network >> Network type me jaakar aapko LTE Only select karna hai.
  2. Ab aapko Bearer setting change karna hai uske liye Setting >> More >> Mobile Network >> Access Point Names Me jaana hai wahan par aapko bearer ka option dikhega uspar click karna hai aur Unsetisfied ko LTE kar dena hai.
  3. Is setting ko karne ke baad bhi aap apne phone ko ek bar restart jaroor kar le phir speed checker se internet speed check kare.

Toh doston dekha aapne aaj maine aapko 2 aise tareeke bateye jinse aap apne phone ki internet speed increase kar sakte ho agar aapko post pasand aaye toh plz comment me bataye aur ye bhi jaroor bataye ki aapki jio internet speed badhi ya nahin.

If you enjoy plz share
hindimegyaan

Leave a Comment

0 Shares