Kisi Bhi Mobile Number Ki Call Details Kaise Nikaale

kisi bhi mobile number ki call details kaise nikaale

Kisi Bhi Mobile Number Ki Call Details Kaise Nikaale Hello guys aajka post bahut useful hai aaj hum baat karenge kisi bhi number ki call history nikaalne ke baare me ki kisi ke bhi sim ki call details easily kaise nikaale Doston aisa bahut baar hota hai ki hume apne ya kisi dusre ki sim ki call details ka pata karna hota hai lekin hume maloom nahin hota ki ye kaise karte hain toh aaj me aapke liye ye article lekar aaya hun aaj me aap logon ko batane wala hun ki kisi bhi sim ki call details kaise nikaale.

Doston me jo trick aap logon ke saath share karne ja raha hun woh aap Prepaid aur Postpaid dono tarah ki sim card par use kar sakte ho me is trick ko poora karne ke liye ek app bataunga jo dono tarah ke sim card support karta hai.

Doston me jis app ke baare me batane wala hun uska naam hai Recharge Plans & Prepaid Bills Mubble is app ko aap Google Play Store se download kar sakte hain ye app sabhi telecom companies ko support karta hai aap kisi bhi company ki sim ki call details isme check kar sakte ho.

Waise ye app sirf recharge ke liye banaya gaya hai lekin is app ke jariye kisi bhi number ki call details nikaali ja sakti hai is app se aap 30 din pahle tak ki sabhi call details le sakte ho.

Kisi Bhi Sim Card Ki Call Details Kaise Nikaale

Agar aap apne kisi friend ya girlfriend ki call details nikaalna chahte ho toh neeche di gayi steps ko follow kariye.

Step 1. Doston call details nikaalne ke liye sabse pahle aapko us phone me Mubble app download karna hoga jiski call details aap nikaalna chahte ho.

Step 2. Jab Mubble app install ho jaaye toh usko open kare aur neeche image me jo settings di gayi hai sabhi ko follow kare.

language and allow

 

  • Sabse pahle apni language select kare.
  • Ab aap Give Permissions par click karke sabhi permissions ko allow kariye.

Step 3. Ab aap apne mobile number ko verify aur kuch settings kariye jaise neeche diye gaye image me dikhayi gayi hain.

very mobile number

  • Mobile number daale aur verify par click kare.
  • Email ID Select kare aur OK par click kare.
  • Ab give permission par click kariye.
  • Ab aap Mubble Balance checker ko on kariye

Step 4. Ab aapke saamne mubble app fully opened ho jaayega ab aapko wahan par Bill likha hua show hoga uspar click kare aur Jitne bhi din ki call details nikaalna chahte ho woh choose kare aur Get Bill By Email par click karke Email id daalkar Get bill par click kar de.

get bill

  • Bill par click kare.
  • Days choose karke Get bill by email par click kare.
  • Ab email id daale aur Get bill par click kare.

Jaise hi aap Get bill par click karenge aapke email id par aapke utne days ki sabhi call details pahunch jaayegi toh doston aaj aapne seekha ki mobile number ki call history kaise jaane agar aap isi tarah daily new jankari haasil karna chahte ho toh hamare blog ko subscribe jaroor kare aur comment me bataye ki aapko ye post kaisi lagi

Plz is post ko jyada se jyada share kare.

hindimegyaan

2 thoughts on “Kisi Bhi Mobile Number Ki Call Details Kaise Nikaale”

Leave a Comment

0 Shares