Hello doston Hindi Me Gyaan par aapka most welcome aapko ye toh maloom hoga ki is website par hum logon ko Hindi me gyaan dete hain toh agar aap bhi chahte hain ki aap logon ki madad kar sake unhe new jankari de sake toh aap hamare blog par Guest post kar sakte hain matlab aap hume post send kar sakte hain jisko hum apne blog par publish kar denge.
Post Kis Tarah Ki Hona Chahiye
- Post kam se kam 700 words ki hona chahiye.
- Post me ek image jaroor hona chahiye yaad rahe agar aap kahin se copy ki hui image send kare toh uske saath uska credit link bhi jaroor send kare.
- Post ko chote – chote paragraph me likhe taaki log asani se padh sake.
- Agar aap chahte hain ki aapke blog ya website ki link post me add ki jaaye toh link bhi send kare aur haan yaad rahe post me ek se jyada link share nahin kiya jaayega.
Kuch Baate Jinka Dhyan Rakhkar Post Likhe
- Post aapke dwara likhi hui hona chahiye aajkal ke log post ko copy karke de dete hain aisa hua toh aapki post publish nahin ki jaayegi isliye aisi post likhe jo kahin se copy na ho.
- Post me jo jankari di gayi ho usse related ek image bhi use kare.
- Post me koi jankari jaroor hona chahiye jo logon ke liye upyogi ho bekaar ki post send na kare.
- Jo post likhe uske baare me aapko knowledge hona chahiye.
- Post likhne me aap 2 tarah ki language ka istemaal kar sakte hain ek Hindi aur dusri Hinglish.
- Post lagbhag 700 words ki toh hona hi chahiye aur agar choti ho toh usme jankari sahi hona chahiye.
Post In Topic Par Hi Likhe
- Make Money Online
- Blogging
- WordPress Or Blogger se related
- Kisi Bhi Important Knowledge site ke baare me
- Mobile se ralated
- Youtube
- Internet Knowledge
- News
- Tips & Tricks
- Social Networking
Hindi Me Gyaan Par Guest Post Karne Ke Fayde
HMG par post karne ke bahut se fayde hain jo Bloggers ko milenge lekin kuch log aise hain jo ye chahte hain ki woh sirf logon ko jankari provide kar sake unhe iska koi credit nahin chahiye.
- Agar aapka koi blog ya website hai toh uska link aapki di gayi post me diya jaayega jisse aapke blog ya website ko Backlink milega aur aapko toh pata hoga ki Backlink kisi bhi website ke liye kitna jaroori hota hai isse aapke blog ki rank increase hogi.
- Agar aap chahe toh aapka naam bhi post me likha jaayega ki ye post kiske dwara likhi gayi hai.
- Aap famous honge logon ko aapke baare me pata chalega ki aap logon ki internet par jankari dekar help karte hain.
- Agar aapki post acchi hogi mujhe pasand aayegi toh me aapko uske paise doonga.
Note – Agar aap apne blog ya website ka bina post likhe promotion karna chahte hain toh kar sakte hain lekin uske liye charge lagega agar aap ye karwana chahte hain toh mujhse mere contact us page par contact kare.
Agar aap Guest post karna chahte hain toh neeche diye gaye form me mujhe send kare.
Agar aapko post send karne me koi dikkat ho toh contact form par aakar mujhse baat kare me aapko direct contact karke post publish kar doonga.