Top 5 Screen Recorder For Android Smartphone

Hello guys aaj me ek bahut hi accha article lekar aaya hun jisme aapko ye jaanne ko milega ki Android phone ki screen record kaise karte hain.Kabhi-Kabhi hum apne phone par jo bhi kaam karte hain usko record karne ka man karta hai lekin hume pata nahin hota ki screen ko kaise record kiya jaaye lekin ab aapko pareshan hone ki jaroorat nahin hai kyunki aaj me 5 aise android apps ke baare me batane wala hun jinse aap apne phone ki screen ko free me record kar sakte hain.

Top 5 screen recorder for android smartphone

Playstore par aise bahut se apps hain jinse phone ki screen record ki ja sakti hai lekin unme se kuch hi apps aise hain jo screen recording ke liye best hain baaki me acche features nahin hai isliye aaj aapko sirf best screen recorder ke baare me jaanne ko milega.

Doston me jo apps share karne ja raha hun unhe me khud use karke dekh chuka hun ye sabhi mujhe bahut pasand aaye isliye me aap logon ko bhi batana chahta hun.

Ek baat aap samajh lijiye ki ye apps sirf unhi phone me work karengi jinka version marshallow hoga agar aap dusre version me in apps ka use karna chahte hain toh aapko apna phone root karna padhega so doston agar aapka phone root hai toh chaliye me aapko 5 best screen recorder ke naam bata deta hun jinse aap apne phone ki screen ko bahut hi easily record kar sakte ho.

Read – Apne Android Smartphone Ko Root Kaise Kare

Android Phone Ke Liye 5 Best Screen Recorder

Doston jo apps me share karne wala hun woh sabhi bilkul free hain lekin play store par kuch aise apps bhi hain jo paid hain aur unme bahut acche features hain agar aap unka use karna chahte hain toh aap playstore se buy kar sakte hain lekin me aapko suggest karunga ki pahle aap free waale apps try kare kyunki ye bhi bahut acche hain.

1.AZ Screen Recorder

az screen recorder

AZ Screen recorder sabse best screen recorder hai isko aap sabhi android phone me use kar sakte hain chahe woh root ho ya nahin lekin agar aap apne phone ko root karke iska use karoge toh isme aapko aur jyada features milenge.

AZ me mujhe sabse behtar ye laga ki isme 3 qualities ki video capture kar sakte hain matlab aap low,high,medium sab qualities ki video record kar sakte hain.

AZ Screen recorder ko install karne ke liye yahan click kare – Download Now

2.SCR Screen Recorder Pro

scr pro 2

SCR Screen recorder bhi ek bahut hi accha screen recorder app hai isko Google ne ban kar diya hai kyunki Google ka kahna hai ki is app ko phone me use karne se aapka phone kharab ho sakta hai.

Agar aap bina root kiye is app ko apne phone me use karna chahte hain tab aap sirf 3 minutes ki video hi record kar sakte hain lekin ek baar jo aapne apna phone root kar liye toh aap isse unlimited time ki video record kar sakte hain.

SCR Screen recorder ko install karne ke liye yahan click kare – Download Now

3.Shou Screen Recorder

shou

Ye screen recorder bahut hi cool hai kyunki iske jariye aap Screen record ke alawa bhi bahut kuch kar sakte hain jaise Video editing,snapshot,online chatting aur online video stream bhi kar sakte hain iske alawa aap video edit karke upload bhi kar sakte ho.

Shou Screen recorder download karne ke liye yahan click kare – Download Now

4.Rec. (Screen Recorder)

rec. screen recorder

Rec. screen recorder se aap apne phone ki screen ko bahut hi easily record kar sakte ho isme ek khaas baat ye hai ki isse aapke phone ki backgroud audio bhi record hoti hai jisse aap apne phone ki videos ke saath-saath audio bhi record kar sakte ho.Is app ka interface bahut accha hai isme aapko jyada settings karne ki jaroorat nahin hai sirf ek click me hi aapke phone ka screen record hone lagega.

Yaad rahe agar aap isko apne phone me use karna chahte ho toh aapka phone root hona chahiye ya phir aapke phone ka version 4.4.2 se jyada hona chahiye agar aapke phone ka version isse kam hai toh aap is app ka use bina root ke nahin kar sakte.

Rec. screen recorder ko download karne ke liye yahan click kare – Download Now

5.Unlimited Screen Recorder

unlimited screen recorder

Ye bhi ek bahut hi accha screen recorder app hai isse aap bahut hi easily apne phone ke screen ko record kar sakte ho iske alawa bhi aap is app se bahut kuch kar sakte ho.

Yaad rahe is app ko properly tarah se use karne ke liye aapka phone root hona chahiye warna ye sahi se work nahin karega.

Toh doston ab me aapko bata deta hun ki aap inme se kaun sa app use kare kyunki jaise ye 5 best hain aise hi inme se bhi 1 best hai lekin har kisi ki pasand alag alag hoti hai waise me toh inme se AZ Screen recorder ka use karta hun lekin aap sabhi use karke dekhe aur jo aapko accha lage woh apne phone me rakhe.

Ummid hai aapko ye post jaroor pasand aayegi plz isko share jaroor kare aur ho sake toh comment me bataye ki aapko ye post kais lagi

Plz share jaroor kare

hindimegyaan

Leave a Comment

0 Shares