Top 6 Antivirus For Computer – Windows Ke Liye 6 Best Antivirus

Hello doston aajki is post me aapko ye jaanne ko milega ki aapke laptop ya computer ke liye kaun se antivirus best rahenge isliye aap is post ko full read kariye.Aap toh jaante hi honge ki laptop me antivirus ka use karna kitna important hota hai agar aap apne laptop me Antivirus use nahin karoge toh aapka laptop bahut hang karne lagega aur aapki window bhi crack ho sakti hai.

windows ke liye 6 best antivirus



Doston har samajhdaar insaan jo computer ko chalata hai woh antivirus ka prayog jaroor karta hai.Main bhi apne laptop me ek paid antivirus use karta hun jisne mere laptop ko bahut si problem se secure kar diya hai.

Aaj me aap logon ko 6 bahut hi acche aur secure antivirus ke baare me batane wala hun jinka use karke aap apne laptop ko full secure kar sakte hain Toh chaliye sabse pahle ye jaan lete hain ki aakhir antivirus use nahin karne se kya hota hai.

Antivirus Use Nahin Karne Ke Nuksaan

Agar aapke paas ek laptop hai aur aap usme antivirus ka prayog nahin karte ho toh aap bahut badhi problem me aa sakte ho.Neeche maine kuch problems batayi hain.

  • Aapke laptop ki window crack ho sakti hai
  • Aapka full save kiya hua data format lag sakta hai
  • Laptop me virus aane lagta hai
  • Antivirus na use karne se aapka laptop hack ho sakta hai
  • Jab aap apne laptop me koi pendrive lagaenge toh aapka laptop uska virus catch kar sakta hai
Toh doston ye the kuch nuksaan jo maine aap logon ko bataye hai.Agar aap apne laptop me antivirus use nahin karoge toh aap ye sab nuksaan ho sakte hain isliye apne laptop me antivirus jaroor use kare.Ab me aap logon ko kuch fayde batane wala hun jo antivirus use karne se hote hain toh chaliye jaan lete hain.
 
Antivirus Use Karne Ke Fayde
 
Doston jyadatar log apne laptop me free antivirus use karne ke baare me sonchte hain lekin woh nahin jaante ki free antivirus bilkul useless hote hain unko use karne se laptop ko full security nahin mil paati hai isliye me aap logon ko suggest karoonga ki aap apne laptop me paid antivirus ka use kare.Aap market se paid antivirus ki CD khareed kar usko apne laptop me install karke apne laptop ko full secure kar sakte hain.
 
Toh chaliye ab hum ye jaante hain ki aakhir kaun se antivirus hamare laptop ke liye acche hain.
 
1.Quick Heal Antivirus
 
Antivirus toh bahut hain lekin sabse best aur jyada use hone waala antivirus sirf ek hai aur woh hai Quick heal antivirus isliye me aapko suggest karta hun ki aap bhi apne laptop me isi ka use kare kyunki ye aapko bahut saari security provide karta hai jaise – Quick heal total security,Quick heal antivirus pro,Quick heal PC tuner 3.0,Quick heal total security for mac,Quick heal internet security etc.Quick heal thoda mahanga hai lekin iski power sab antiviruses se strong hai.Main bhi apne laptop me quick heal ka hi use karta hun.Agar aapke paas 3 ya 4 laptop hain toh aap isko khareedne me accha discount paa sakte hain.
 
Download karne ke liye yahan click kare
 
2.AVG Antivirus
 
AVG Antivirus un user ke liye banaya gaya hai jo free antivirus ka use karte hain waise toh AVG ka paid version bhi hai lekin free version bhi kaafi accha hai isliye agar aap apne laptop me free antivirus use karna chahte ho toh aap AVG Antivirus ka use kar sakte hi ye bilkul free hai aur isme features bhi kaafi hain jaise – Analyzer,fix error,fix junk and fragment files,registry aur recovery ka bhi option milta hai etc.mere hisaab se free me itni security wala antivirus bahut accha hai isliye free users isko use kare.
 
Download karne ke liye yahan click kare
 
3.Bitdefender Antivirus
 
Agar aap apne computer ko personally use karte ho toh aapke liye Bitdefender sabse best rahega kyunki isme woh sab feature hain jinki problem personally use karne waale ko hoti hai isliye aap is antivirus ko use kare.Bitdefender ke 2 version hai ek paid hai aur dusra free agar aap jyada features chahte hain toh aapko online antivirus buy karna hoga aur agar aap ye chahte hain ki aap Bitdefender ko free use kar sake toh aap isko neeche diye gaye link se download kar sakte ho.
 
Download karne ke liye yahan click kare
 
4.Avast Antivirus
 
Avast antivirus bhi bahut use kiya jaata hai kyunki iske bhi free aur paid dono version hain isse aap apne laptop ke sabhi virus ko scan karke saaf kar sakte hain aur apne laptop ko safe rakh sakte hain.Agar aap Avast ka free version use karna chahte ho toh neeche diye gaye link par click karke download kar sakte ho.
 
Download karne ke liye yahan click kare
 
5.Norton Security
 
Ye antivirus bilkul Quick heal antivirus ki takkar ka hai isko bhi usi ke barabar use kiya jaata hai iske free aur paid dono version uplabdh hai agar aap free version use karna chahte ho toh neeche diye gaye link par click karke download kar sakte ho.
 
Download karne ke liye yahan click kare
 
6.Kaspersky Antivirus
 
Kuch maheene pahle Kaspersky antivirus ki sabse jyada demand thi kyunki ye bahut hi fast tha lekin ab ye thoda slow ho gaya hai phir bhi is time bhi ye bahut accha work karta hai iske bhi 2 version hai aap koi sa bhi use kar sakte ho.Kaspersky antivirus aapke laptop ko bahut accha protection de sakta hai isliye aap iska free version download kare.
 
Download karne ke liye yahan click kare
 
Toh doston ab toh aapko pata chal chuka hoga ki kaun se antivirus sabse best hain laptop ya computer ke liye.
 
Mujhe poora yakeen hai ki aapko ye post bahut pasand aayegi.Post ko share karna na bhoole kyunki aapa ek share kisi dusre ki bhi help kar sakta hai
 
Agar aapko meri is post me kuch galat lage toh comment karke jaroor bataye aur agar koi sawaal ho jo aap mujhse poochna chahte ho toh comment kariye me poosri koshish karoonga aapki help karne ki.
hindimegyaan

Leave a Comment

0 Shares