Truecaller Se Apne Number Ko Kaise Hataye

Hello doston aaj me aapko ye batane wala hun ki truecaller website se apne number ki details ko kaise remove karte hain.Aapko ye toh pata hi hoga ki truecaller par bina permission ke aapka number register ho jaata hai jo aapke naam se hota hai aur usme aapke number ki details bhi pahunch jaati hain.

Truecaller se apne phone number ko kaise remove kare


Ab aapke dimaag me ek hi sawaal aa raha hoga ki trucaller par mere number ki information bina mere daale kaise pahunchi toh me aapko bata dun ki jab bhi aapka koi friend ya relative member truecaller par sign up karta hai toh uske saare contacts ko truecaller apne server par upload kar leta hai.

Truecaller par jab aap new member banne ke liye sign up karte hain toh truecaller aapke saare contacts ki information ko apne server par download kar leta hai aur jin naam se woh contacts aapke mobile me save hote hain woh unhi naam se aapke contacts ko apne server par save kar deta hai tabhi toh jab koi aapke number ko search karta hai toh aapka naam show hota hai.

Agar soncha jaaye toh truecaller app bahut hi usefull hai kyunki iske jariye aap kisi bhi unknown number ki details nikaal sakte hain lekin kisi bhi number ki details tab hi nikal sakti hai jab woh 3 months old hoga.

Ye app bahut hi best hai caller id ki full information jaanne ke liye aur aapko is website se koi loss nahin hai kyunki ye sirf aapke sabhi contacts ko hi apne server par upload karti hai aapke data se ise koi lena dena nahin hota hai.

Ye Bhi Pade–

Phone Number Ki Details Kaise Nikaale

Backlink Check Karne Ke 5 Tools

Truecaller Kya Hai

Truecaller ek bahut hi accha contact name finder app hai jispar aap kisi bhi unknown number ki details aur number kis naam se register hai sabhi jaan sakte hain.Pahle sirf truecaller me kuch hi features the lekin ab isme unlimited updates features hain kyunki truecaller ne apne bahut se features ko update kiya hai isliye ab aap ispar mobile number ki har details ko jaan sakte hain aur aap kisi bhi phone number ko block kar sakte ho.

Truecaller website ko 2009 me Alam Mamedi aur Nami Zarringhalam ne start kiya tha uske baad is website ne apna ek banaya jo True software scandivania AB Company ne develop kiya jo ek private company hai pehle ye sirf blackberry handset ke liye hi launch ki gayi thi lekin ab aap isme apne features ko sabhi mobile ke liye start kar diya hai ab aap isko Andoid,iOS aur sabhi tarah ke operating system me use kar sakte ho is application ko september 2009 me sabhi devices ke liye available kar diya gaya.

Waise toh aap is website par sabhi 3 months old number ki details pa sakte ho lekin is website ka main motive ye hai ki kisi bhi unknown number ke baare me jaanna hai toh aap is website ka use kar sakte ho.Pichle Year is website ne kkafi saare features ko update kiya tha jinme se ek feature ye hai ki kisi bhi phone number ki location ko trace kar sakte hain aur ab aap iske jariye kisi ko bhi call kar sakte hain lekin in sabhi features ko maza lene ke liye aapko truecaller ke paid version ko buy karna padhega tab hi aap in sabhi features ka laabh utha sakte hain.

Ye Bhi Pade—

Whatsapp Account Ko Bina Number Ke Kaise Banaye

Blog Post Ko Promote Kaise Kare

Truecaller App Ke Advantage Or Disvantage Me Kya Difference Hai

Jaise kisi bhi aap me acche features hote hai waise hi usme kuch aisi kamiya bhi hoti hain jo users ko bilkul na pasand hoti hain.Is app me bhi kuch aisi hi kamaiya hain jo aapko pasand nahin aayegi neeche me kuch advantage aur disadvantage baate bata raha hun jinko padhkar aap ye decision le sakte hain ki ye app aapke liye perfect hai ya nahin.

Advantage – 

  1. Is application me aap kisi bhi unknown number ki full details nikaal sakte hain
  2. Abhi kuch dinon pahle hi isme call karne ka features update hua hai jo sabhi free call app se behtar hai.
  3. Is application se aap kisi bhi unknown number ko block kar sakte ho.
  4. Is app ne pahle se hi kuch companies ke number ko block kiya hota hai jinse hume kaafi problem hoti hai.
  5. Call ke samay agar aapka internet connection on hoga toh caller ka naam aapki screen par show hoga.
  6. Kisi bhi type ke matlab foriegn number ke baare me details nikaal sakte hain.
Toh doston ye the kuch advantage jo aapko bahut pasand aaye honge lekin ab kuch disadvantage bataunga jinhe sunkar shayad aap ise use na kare lekin me isko use karta hun.

Disadvantage –
  1. Isme ek baat bahut galat hai ki ye bina pemission ke hi aapke mobile number ko apne server par upload kar leti hai
  2. Bilkul new phone number ka record ye show nahin karti
  3. Jab aapka phone number 3 months old ho jaayega toh hi ye aapke number ko automatically truecaller par show karne lagegi
  4. Agar aap free version ka use karoge toh aapko bahut kam features use karne ko milenge.
  5. Agar aap iske paid version ka use karoge tab hi aap kisi bhi phone number ki location matlab ghar ka pata laga sakte hain.
Waise agar dekha jaaye toh is app me jo disadvantage hain woh itne jyada bure bhi nahin isliye aap is app ka ek baar use karke jaroor dekhiye mujhe poori ummid hai ki ye aapko bahut pasand aayega.

Toh chaliye ab hum ye jaante hain ki apne phone number ko truecaller se kaise hataye toh chaliye shuru karte hain.

Truecaller Se Phone Number Ko Remove Kaise Kare

Truecaller app ne phone number ko remove karne ki ek bahut acchi suvidha hai jisko aap bahut hi easily use kar sakte ho.Truecaller ki website par jaakar aap woh number daalna hai jisko aap private number banana chahte ho uske baad unlist par click kar dena hai aapka number automatically remove ho jaayega.

1.Sabse pahle aap truecaller app open karke login kariye agar aapne trucaller par id nahin banayi hai toh sign up kariye.

2.Ab aap setting par click kariye aur support par click karke about menu me jaiyye

3.Ab yahan par aapko deactivation profile ka ek option dikhega jispar click karke aap apni profile ko deactivate kariye.

4.Kya sonch rahe ho ki aapka number remove ho gaya nahin abhi aapko apne number ko unlist karna hai jiske liye aap truecaller ki website par jaiyye – https://www.truecaller.com/unlist 

5.Ab new tab me ek web page open hoga jisme aapko apna woh phone number daalna hai jisko aap private karna chahte ho uske baad aapko unlist par click kar dena hai.

unlist phone number
  1. Jis Number ko unlist karna hai woh daale
  2. captcha par tick kare
  3. ab unlist phone number par click kare
Jaise hi aap unlist phone number par click karenge uske turant baad aapke phone number ko remove karne ki process strat ho jayegi jo 24 hours ke ander khatam hogi.24 hours ke baad aapka number ek private number ban jaayega jo truecaller par show nahin hoga.

Toh doston kaisa laga aapko ye article ek baar comment karke jaroor bataye aur agar kuch samajh me na aaye toh comment box me pooch sakte hain mujhe aapki help karne me bahut maza aayega
hindimegyaan

1 thought on “Truecaller Se Apne Number Ko Kaise Hataye”

Leave a Comment

0 Shares