Kuch blogger aise hain jinki earning nahin ho paati hai jisse unhe bahut problem hoti hai aur kuch bloggers earning toh karte hain lekin bahut kam kyunki unki CPC kam hoti hai jiski sirf ek hi wajah hai ki unko Google Adsense ke baare me knowledge nahin hai kyunki koi bhi aisa kaam nahin jisme bina jankaari ke success hua ja sake
Maine bahut saare bloggers se contact kiya hai sirf kuch hi bloggers apne blog se acchi income earn kar rahe hain baaki ki haalat bahut kharaab hai isliye aaj me aapke saath is post ko share karne ja raha hun jisko follow karke aap adsense se acche paise kama sakte ho
Ek baar yaad rakhiye me jo baate aap logon ko batane wala hun unko seriously lena warna aap kabhi zindagi me apne blog se acchi earning nahin kar sakte
4 Reasons Blog Se Low Earning Hone Ke
Is Article se pehle bhi me adsense ke uper kuch articles likh chuka hun aap unhe bhi jaroor pade jisse aap adsense ke baare me acchi knowledge ho jayegi
1.Traffic Is Most Important
New blogger ko adsense se earning me bahut jaldi hoti hai jaise hi adsense approved hota hai toh direct woh apne blog se paise kamane ke baare me sonchne lagta hai ye maine bahut saare new bloggers se poocha hai shayad unko pata nahin hota ki ye bahut badhi galti hai isse new blogger ka career bekaar ho sakta hai
Aap khud hi sonchiye ki agar aapke blog par traffic nahin aayega toh click kaun karega aur bina click ke income kaise earn kar sakte ho.Agar aapko apne blog se paise kamana hai toh sabse pehle aap apne blog par traffic badhaye warna paise kamane ke sapne ko bhool jaaye.Jab aapke blog par lagbhag 5000 daily traffic aane lage toh samajh lena ki ab aapka blog earning ke laayak ho gaya.Traffic badhane ke liye aap apne blog par acche content likhe acchi jankaariyan likhe aur hamare blog par traffic se related post read kare.
Agar aapko apne blog ki CTR(Click Through Rate) increase karna hai toh blog par traffic laana padhega.Jab aapke blog par 4000 traffic ho jayega toh aapki adsense CTR 1.5% matlab 3% tak ho sakti hai jo bahut hai acche paise kamane ke liye.Google adsense ki CPC aapke visitors par depend karti hai agar aapke paas acche visitors honge toh aapko acchi income karne se koi nahin rok sakta
Sabse badhi problem yahi hai ki agar aapko apni income ki problem ko bilkul khatm karna hai toh aapko apne blog par traffic laana hi padhega chahe aap uske liye kuch bhi kare.
Read This Article–
Blogger Post Me Google+ Comments Kaise Chalu Kare
Adsense approval tricks in 15 days
2.Write Low Paying Niche Content
Dusra reason jo hai woh ye hai ki aap apne blog par jis tarah ki post daaloge usi tarah ke ads show honge isliye agar aap apne blog Low paying content daalte ho toh aapko acchi income nahin hogi kyunki jaise content honge usi tarah ke ads show honge aur Low paying content par CPC bhi low hi milti hai
Example ke liye aapne dekha hoga ki kuch site aisi hoti hai jinpar Games ke baare me likha hota hai aise blog kabhi bhi acchi income nahin karte kyunki Google adsense Gaming site par sirf $0.01 se $0.02 ki CPC hi deta hai lekin kuch games aise bhi hain jinpar CPC high milti hai par jyadatar ye Gaming site par kam CPC hi deta hai.Gaming site se Google adsense par income karna bahut hi hard work hai
Phir bhi agar aapko Games ke baare me jyada jankaari hai aur aap ek Gaming site banana chahte ho toh me aapko ek raay deta hun ki aap Amazon,Flipcart,Snapdeal jaise affiliate marketing ke ads apni site par lagaye kyunki ye Google adsense se behtar hain Gaming site ke liye
Agar aapko maloom nahin ki Affiliate marketing se paise kaise kamate hain toh aap comment karke pooch sakte hain ya phir hamari Affiliate marketing se related post padhe
3.Check Your Ads Work Correctly
Ye ek aisi problem hai jo 70% blogger se hoti hai.Shayad aapko bhi but bahut saare aise bloggers hain jinko start se hi low earning ki problem hoti hai kyunki woh kabhi bhi check nahin karte hain ki unki site par ads sahi tareeke se work kar rahe hain ya nahin
Actually hota hai ki aap apne blog par jo ads lagate hain toh wrong ads placement ya phir Blog ki template ki wajah se ads unit sahi work nahin karte hain.Aapko ye check kar lena chahiye kyunki ye ek badi problem hai iske sahi na karne par aapko aapke blog se kabhi income nahin hogi
- Aapke ads sabhi devices me sahi work nahin karte hain
- Aapke blog par proper tareeke se ads show nahin hote hain
- Ads slowly show hote hain
- Content ke hisaab se ads fix nahin hote hain
- Ads style Features ka use na karna
- Ad style feature ka use karna par ads ko post ke content me hi mix kar dena
shayad aapko pata nahin ki ye dono hi tareeke bahut galat hain.Google hamesha ek baat kahta hai ki koi bhi user bina ads ko jaane ads par click na kare kyunki aisa karne se blog par effect padhta hai so aap ad style ko itna hi customize kare ki woh content se na mile jisse user ko ye pata chal jayega ki ad kaun sa hai post ke content kaun se hain inse hatke bhi kuch tips hain jinhe aap follow kar sakte hain ye bhi kaafi useful hain
Ad Style ko Customize Kare-
- Border ka use na kare
- Url ka colour hamesha black choose kare
- Image aur Text dono style ke ads daale
- Post content se lagbhag 20px ki doori par hi ads daale