Best Backlink Checker Tools

Hello doston aajki ye post aap logon ke liye bahut helful hai kyunki iske jariye aap apne blog ke inbound aur outbound dono links ko check kar sakte ho.Is article me aap logon ko ye jaanne ko milega ki Online tools ka use karke apne blog ke backlink kaise check karte hain.Is tool ki madad se aap free me backlink prapt kar sakte hain.

backlink check karne ke 5 best tools


Doston aap blog toh bahut hi easily bana loge but usko success karne ke liye aapko Seo aur backlink ke baare me full information ka pata hona bahut hi jaroori hai.Waise Seo mekuch dinon se kaafi changing aayi hai lekin backlink me abhi tak koi changing nahin aayi hai isliye aap is post ko padhiye jisse aap free backlink pa sakte hain aur jitne jyada backlink honge utna hi aapka blog success ki aur badhega.

Agar aapko apne blog ki search engine visibility increase karna hai toh aapko apne blog ke liye High quality ke backlink ko prapt karna padhega.Is article me maine 5 aise tools ke baare me bataya hai jinse aap apne blog ke sabhi backlink ko check kar sakte ho.

Read Also – Apne PC ya Laptop Ko Secure Kaise Kare

Backlink Check Karna Kyun Jaroori Hai

Itna toh aapko maloom hi hoga ki jitni high quality ka backlink aap apne blog par payenge utna hi aapke blog ka traffic increase hoga aur aapka blog ko search engine me bhi accha performance milega waise hi agar aapke blog ko low quality ke backlink milenge toh aapke blog ka success hona bahut mushkil hai.

Bad link ko toh aap jaante hi honge ki agar aap apne blog par bad backlink ko prapt karenge toh aapka blog dheere dheere search engine me girta jaayega kyunki bad link un blogs ke hote hai jo google ke dwara block kar diye gaye hote hain.Agar aap aise link se bachna chahte ho toh bad link parapt hone ke turant baad aap google ko inform kare taaki woh un bad backlinks ko hata sake.

Me jo backlink checker tools ke baare me aapko batane wala hun woh sabhi country ke liye available hain aap kisi bhi country me jaakar in tools ka istemaal kar sakte ho.

Jyadatar backlink create karne ke baare me sonchne par hume sirf Dofollow backlink par dhyaan dena chahiye kyunki Do follow backlink ke jariye blog ko search engine se accha improvement prapt hota hai.High quality ke do follow backlink se hamare blog ke page rank aur moz rank me kaafi accha improvement aata hai.

Read Also – SERPs Ki Performance Ko Increase Kaise Kare

5 Best Tools Jinki Madad Se Aap Apne Blog Ke Backlink Check Kar Sakte Ho

Waise toh backlink check karne ke kaafi saare tools hain lekin me jo tools aap logon ko batane wala hun woh un sab se best hain aur free bhi hain toh chaliye start karte hain.

1.Ahrefs.com

Ahrefs world ka sabse best backlink check tool hai jitne bhi bade-bade website ya blog ke owner hain woh isi tool ka use karke apne blog ke backlink check karte hain waise ye ek paid tool hai lekin agar aap isko free me use karna chahte ho toh aap free register karke isko use kar sakte ho jisme aapko kaafi features use karne ko milenge iske jariye aap apne blog ke liye free backlink create kar sakte hain.

Is tool me ek aisi khaas baat hai ki aap iske jariye ye bhi dekh sakte hain ki kaun se backlink se aapke blog ko fayda hoga aur kaun se backlink se aapka blog bekaar ho sakta hain isliye aap is tool ka use kare toh bahut behtar rahega

Ahrefs tool par visit karne ke liye yahan click kare

2.Moz.com

Moz ek aisa tool hai jisse aap blog ki page authority,Domain authority,Do follow backlink and No follow backlink kuch bhi find kar sakre ho lekin in sabhi ko use karne ke liye aap pay karna hoga agar aap free me use karna chahte ho toh sirf backlink check kar sakte ho woh bhi daily sirf 3 baar aur agar aap unlimited time use karna hai toh aapko iska paid tool use karna hoga.Paid tool se unlimited backlink ya kuch bhi check kar sakte ho.

Moz.com par visit karne ke liye yahan click kare

3.Backlinkwatch.com

Ye ek aisa tool hai search engine me sabse top par show hota hai aur ye bilkul free bhi hai.Ye tool un logon ke liye useful hai jo old webmaster hain kyunki is tool par database ko update hone me kaafi time lag jaata hai jise time waste kahte hain.Mere blog ko 3 months ho gaye lekin abhi tak ye tool uske 0 backlink show kar raha hai.Is tool par ek bahut buri dikkat hai ki ispar advertisement kuch jyada hi hain jo logon ko bilkul pasand nahin aate hain aur mujhe toh khaas tour se pasand nahin.

Backlinkwatch par visit karne ke liye yahan click kare

4.BuzzSumo.com

Buzzsumo tool bhi free aur paid dono version me uplabdh hai is tool ke paid version me aap apne blog ke pagerank aur domail authority dono backlink ko simple tareeke se check kar sakte hain aur is site me ek khaas baat ye hai ki isko aap excel file ka use karke .CSV file me download bhi kar sakte ho

Buzzsumo par visit karne ke liye yahan click kare

Toh doston kaisi lagi aapko ye post comment me jaroor bataye aur agar aapke dimaag me koi sawaal aa raha ho toh comment kare mujhe aapke sawaal ka answe dene me bahut khushi hogi

Ye Bhi Pade–

Feedburner Par Accout Kaise Create Kare

Blogger Blog Me Favicon Kaise Lagate Hain

Waise toh mujhe poori ummid hai ki aapko ye article bahut pasand aayega kyunki iske jariye aap blogging me success ho sakte hain.

hindimegyaan

2 thoughts on “Best Backlink Checker Tools”

  1. فروش جی پی اس خودرو

    فروش ردیاب خودرو

    فروش ردیاب شخصی

    فروش ردیاب خودرو ماهواره ای

    Reply

Leave a Comment