Specially taur se me aapko bata dun ki agar koi hacker aapke laptop ko hack karega toh woh sirf aapka data aur gmail id hi hack nahin karega balki woh aapka poora system hack kar sakta hai jo aap apne laptop par work karte ho.Jaise maan lijiye ki agar aap apne laptop par apne bank account me kuch setting kar rahe hain tab agar kisi ne aapka laptop hack kiya toh usko aapke bank account ke baare me full detail mil sakti hai.So meri aapse yahi request hai ki apne laptop ko secure kare taaki aapko kuch problem na ho.
Best Tips For Laptop Security
Antivirus-
Laptop par kabhi out of dated antivirus ka use nahin karna chahiye aise antivirus use karne se laptop ki security par attack ho sakta hai chahe wo virus ka ho ya hacker ka.Isliye sabse pehle aap apne laptop me ek accha updated antivirus ka prayog kare.
Update All Software-
Aap apne system me jo bhi software ka use karte hain unko weekly ya monthly update karte rahna chahiye kyunki aajkal har software company apne softwares ko har maheene kuch naya updates de rahi hai.Agar aap apne softwares ko monthly update karte rahenge toh aapko new version bhi milega aur aapke laptop ki security bhi badhegi
Proper Shutdown-
Mac aur Windows/Linux ek dedicated button hain window ko shutdown karne ke liye.Agar aap apne computer ko shutdown kare toh inhi ka use kare aur full shutdown hone dein aisa karne se kabhi bhi aapki window corrupt nahin hogi aur na hi aapka laptop hang karega.Aur koi bhi aapke laptop ko hack nahin kar sakega.
Use Tracking Software-
Laptop ek portable device hai isliye hum laptop ko kahin bhi travel me le jaate hain.Aap sonchiye ki agar aapka laptop lose(kho) jaye toh aapko kaise lagega isliye me aapko batana chahta hun ki apne laptop me ek tracking software install kar le.aisa karne se agar aapka laptop kho bhi gaya tab bhi aap uska pata laga sakte ho aur use dhoondh sakte ho.
Me jo software ka use karta hun uska download link main neeche dene waala hun lekin agar aap chahe toh aap apni pasand ka tracking software use kar sakte ho
Kuch log aise hote hain jo apna phone number aur apne laptop ka Imei no. aur full detail logon ko bata dete hain lekin unhe pata nahin hota ki aisa karne se unko nuksaan ho sakta hai isliye meri raay yahi hai ki aap apni full detail kisi ke saath bhi share na kare
Post acchi lage toh share jaroor kare aur comment me bataye
ye jaroor pade–
Agar aapke paas bhi koi tips hai toh hame bataye hum aapki post bhi apne blog par share karenge