Blog Post Me Old Post Ka Link Add Karne Ke Fayde
Blog ki new post me old post ka link add karne se hamare blog ko bahut fayda hota hai isse visitors hamare blog par jyada time tak rukta hai aur hamare blog ka bounce rate bhi kam hota hai.Link add karne se hamare blog ka traffic bhi increase hoga aur rank bhi acchi hogi
Blog Post Me Dusri Post Ka Url Kaise Jodte Hain
Blogger ki new Post me old Post ka link add karna bahut hi easy kaam hai bas aap niche diye gaye steps ko follow kare
Step 1.
1.Sabse pehle aap apne blog ke dashboard me jaiye
2.Ab aap New Post Par click kariye
3.Ab post likhne ka option khulega jisme aap link par click kariye
Step 2.
Ab ek window open hogi jisme aapko apni old post ka link add karna padhega
1.Text To Display-Yahan par aapko apni old post ka title daalna hai aap chahe toh title thoda change karke daal sakte ho
2.Which url should this link to-Yahan par aapko apni old post ka url daalna hai jo aap add karna chahte ho new post me
3.Web address-Hum jo link add karte hain woh ek tarah ka web address hota hai isliye web address choose kare
4.Test This Link-Aapki link kaise show hogi check karna chahte ho toh yahan click kare
5.Email Address-Agar aap post me apna email add karna chahte ho toh yahan click karke add kar sakte ho
6.Open This Link In A New Window-Agar aap apni post ke link ko new window me show karwana chahte ho toh ise choose kar le
7.Add ‘rel=nofollow’ attribute-is option ko choose karne se aapki post search engine me show nahin hogi
8.Ab aap ok par click kar dijiye
Post acchi lage toh share jaroor kare aur comment karke hame bataye ki koi galti toh nahin hui
Read This Article–
Blog me meta tags description kaise add kare
Blog ka backup download karne ka tareeka
Ummid hai aapko ye post bahut acchi lagegi aur ise jyada se jyada share kare