Browser Cookies Ko Enable Ya Disable Kaise Karte Hain

Hello doston aaj me aapko bataunga ki Cookies kya hain aur ise enable kaise karte hain aur ye kis kaam ki hain.Aksar aisa hota hai ki hum koi website open karte hain toh woh open nahin hoti hai kyunki hamare browser ki cookies enable nahin hoti hain aur kuch sites aisi hoti hain jinhe open karne ke liye cookies ko disable karna padhta hain

How to enabled or disabled browser cookies

Aaj me aapko isi topic ke baare me batane wala hun jisse aap asani se cookies enable ya disable karna seekh jaoge aur aapko cookies ke baare me acchi knowledge ho jayegi isliye is post ko poora read kare

Cookies Kya Hoti Hain

Cookies ek tarah ki file hoti hai jisko enable ya disable karne se websites ko open karna easy hota hai aur ise enable karne se websites par daale gaye ads bhi show hone lagte hain.Cookies bahut hi kaam ki cheej hai kyunki ye hamare browser ki problems ko block kar deta hain isse hume internet speed bhi acchi aati hai.

Read This Article–

Google chrome offline installer setup

Cookies Ke Saath Problem Ko Kaise Fix Karte Hain

Agar aapne apne browser me cookies enabled kar di hai lekin aapke browser me eroor message aa raha hai toh apne browser me new tab ko open kariye aur jo other tabs hon unhe close kar dijiye aapko problem solve ho jayegi

Cookies Enabled Kaise Kare

Me jo method aapko batane ja raha hun ye sirf Google Chrome Ke Liye hain.toh cahliye jaante hain ki cookies ko enabled kaise karte hain.

1.Sabse pehle aap apne brower ke Right side me uper jo more ka button hai uspar click kare aur Setting par click kariye

click setting for help

2.Ab aapke saamne jo page khulega usme aapko thoda neeche jaana hai aur Show Advanced Settings par click karna hai

show advanced settings

3.Show advanced setting par click karte hi aapki settings show hone lagegi jisme aapko content settings par click karna hai

content settings

4.ab aapke saamne content setting ka ek box open hoga jisme aapko Allow local data to be saved(recommended) choose karna hai aur done par click karna hai

cookies

Done par click karte hi aapke browser me cookies kaam karne lagengi aur aapko koi pareshani nahin hogi

Cookies Disabled Kaise Kare

Cookies ko disabled bhi isi tarah karte hain sirt last me aapko kuch change karna padhta hai chaliye me aapko bata deta hun

cookies

Jaise humne cookies ko turn on kiya tha usi tarah cookies ko disabled karne ke liye aapko Block sites from setting any data choose karke done kar dena hai

Useful tips–

Laptop or Computer Ko Secure Kaise Kare

Seo Friendly Blog Post Likhne Ke Tareeke

Toh doston ab aap samajh gaye honge ki cookies kya hoti hai aur inko kaise use karte hain aur kaise inko enabled ya disabled karte hain

hindimegyaan

1 thought on “Browser Cookies Ko Enable Ya Disable Kaise Karte Hain”

Leave a Comment