Youtube Subscribers कैसे बढ़ाएं

Youtube Subscribers कैसे बढ़ाएं – क्या आप अपने Youtube Channel के Subscribers बढ़ाना चाहते हैं तोह इस लेख को अंत तक पढ़ें यहाँ आपको यूट्यूब चैनल के सब्सक्राइबर कैसे बढ़ाएं ये बताया जाएगा।

इस पोस्ट में निम्न सवालों के जवाब दिए जाएंगे –

  • Youtube Par Subscribers Kaise Badhaye
  • Youtube Subscriber Badhane ki Tips
  • Youtube Channel Famous Kaise Kare
  • Youtube Subscribers Kaise Badhaye
  • How To Increase Youtube Subscribers In Hindi

आदि।

Hello doston aaj me kaafi time baad is blog par post kar raha hun.aaj me aapko youtube ke baare me bataunga ki youtube channel ke subscriber kaise increase karte hain tezi se.Pehle log youtube ko sirf video dekhne aur upload karne ke liye use karte the lekin ab log youtube se paise bhi kama rahe hain

increase your subscriber

Youtube se paise kamane ke liye aapko ispar channel create karna padega aur uspar videos upload karna padengi jo logon ko knowledge de sake.Paise kamane ke liye aapko apne channel par subscriber badhane honge
Youtube ek bahut hi easy way hai paise kamane ke liye bas aapko video editing aana chahiye.Internet par bahut se aise software hain jinko install karke aap video edit kar sakte ho aur video banane ke liye aapko ek screen recorder ki zaroorat padhegi.jyadatar log camtasia studio use karte hain kyunki isse aap dono kaam kar sakte hai matlab editing bhi aur recording bhi
How To Get More Subscriber On Youtube

Youtube par subscriber badhane ke liye kuch secret tips hain jo har youtuber use karta hai.Aaj me aapko batane wala hun ki youtube par fast tareeke se subscribe kaise increase karte hain.
1.Jitna ho sake utna dusro ke channel par comment kare.Comment aisi hona chahiye ki video dekhne waale ko lage ki iska bhi channel hai jo mere kaam aa sakta hai.comment padhkar woh aapke channel par jaroor aayega aur video dekhega agar usko aapki video pasand aayi toh wo aapke channel ko subscribe jaroor karega.
2.Apni video ko social sites par share karte rahe because social media sites aisa platform hai jispar log apna time jyada bitaate hain.Bahut se aise youtuber hain jo apni har video social sites par share karte hain jisse unke subscriber bahut hi teji se badh rahe hain so aap bhi ye kare.
3.Video ke start me Intro de jispar likha hona chahiye ki youtube channel ko subscribe kijiye ya phir aap apni voice record karke bhi laga sakte hain subscribe karwaane ke liye aisa karne se bahut hi speed se aapke subscriber increase honge
4.Channel start karte hi uspar lagbhag 10 video upload kar de taaki log aapki video ko dekhe aur aapke channel ko subscribe kare yaad rahe ki video aisi ho jise dekhkar logon ka aapke prati impression badhe aur woh dowara aapke channel par aana chahen
5.Har youtuber ka blog jaroor hota hai jispar woh apni videos share karta hai aisa karne se uske channel par par log aate hain aur videos dekhte hain aur subscribe bhi karte hain toh aap bhi apna blog banaiyye

Read this—

Toh ye the kuch secrets aapke channel par fast speed se subscriber increase karne ke liye aap in sabhi tips ko follow karenge toh aapko bahut hi jald success mil jayegi.

hindimegyaan

2 thoughts on “Youtube Subscribers कैसे बढ़ाएं”

    • bro apne channel ka naam batao

      ye tips follow karo

      1. regular video daalte raho
      2. title par dhyaan do
      3. jyada comptition waale topic ki video na banao
      aur bhi bahut si baate hain me iske baare me post likhunga

      Reply

Leave a Comment