Android Phone Me Sabhi Unwanted Calls Ko Auto Reject Kaise Kare

Hello Guys , aaj hum baat karenge ki Kisi bhi call ko automatic block kaise kare , unwanted callers ko automatically block kaise kare , faaltu ke calls ko block kaise kare etc.

Android Phone Me Sabhi Unwanted Calls Ko Auto Reject Kaise Kare

doston aksar hamare paas aise calls aate hain jinse hum pareshan ho jaate hain ya phir kisi se itni nafrat hoti hai ki uski call aane par bahut gussa aata hai aur baar – baar reject karna padhti hai toh ab aapko is problem se bachane ke liye me ye article lekar aaya hun isme me aapko bataunga ki kisi bhi number ki calls ko automatically block kaise karte hain.

aapke paas jitni bhi faaltu calls aati hain un sabhi numbers par jab aap is article me batayi jaane waali trick ka use karoge toh woh calls aapke paas nahin aayengi kyunki woh calls automatically block ho jaayengi.

doston ab aap sonch rahe honge ki aakhir is trick ka benefit(fayda) kya hai aisa toh aap Number ko Blacklist me daalkar bhi kar sakte ho lekin dono me bahut fark hai kyunki blacklist me number daalne se kya hota hai ki jab bhi woh user hamare paas call karega toh usko Busy bataya jaayega lekin aaj me jo tareeka batane waala hun is tarah se call ko block karne se jab bhi koi aapke paas call karega toh uski call nahin lagegi aur kuch batayega bhi nahin.

toh chaliye doston ab jyada time nahin lete hue direct point par aate hain chaliye jaante hain ki kisi bhi call ko block kaise karte hain >>

Kisi Bhi Unwanted Call Ko Block Kaise Kare

doston dhyaan se is post ko step by step follow kare >

Step 1. Sabse pahle aap apne Mobile ki Contact List me jaakar Kisi bhi contact par click kare.

contacts

Step 2. Ab aap saamne jo option aayenge usme aap Edit ke icon par click kare.

edit contact

Step 3. Ab aapke saamne woh contact aa jaayega usme upar aapko 3 Dots dikh rahe honge uspar click kare All Calls To Voicemail par par tick kar de.

all calls to voicemail

Jaise hi aap All call to voicemail par tick karenge us number se aane waali sabhi calls auto block ho jaayengi matlab ab woh insaan aapko us number se call nahin kar sakta isi tarah aap kitne bhi number ko block kar sakte hain.

Toh doston ummid karta hun aapko ye post bahut acchi lagi hogi waise log is trick ke baare me bahut kam jaante hain lekin doston kabhi – kabhi ye trick bahut kaam aati hai.

Ye Jaroor Padhe >>

Agar post pasand aaye toh please share jaroor kare aur comment karke bhi bataye.

hindimegyaan

Leave a Comment