Hello Dosto kaise ho aap sab me ummed karta hu aap sab log acche hi honge dosto aaj me aapko batane wala hu ki google adword kya hota hai. dosto agar aap internet use karte ho toh aapne google adword ke bare me kahi na kahi par jaroor suna hoga. dosto aaj mai aapko google adword ke baare me details se batane wala hu ki Google adword kya hai aur ye kaise kaam karta hai.
Table Of Contents
Google Adword Kya Hai ?
dosto me aapko bata du google adword ek advertising company hai. jisme ki koi bhi vyakti apni brand ya business ka advertisement yani vigyapan de sakta hai aur ye officaly google ne hi launch kiya tha matlab ye google ke saath 100% friendly hai. Google adword ki madad se aap log aapne business ka vigyapan dekar uski popularity bahut jaldi se aur asani se badha sakte ho Google adword ke dwara aapke bussiness ke ads google par dikhaye jaate hai
Dosto isme ads ka charge jab hi liya jaata hai jab apki website ke ad par koi vyakti click karega toh ye 100% genuine kaam karta hai isse aapka budget bhi thik rahega ye aapke budget mai hi kaam krega.
Dosto aapne kai bar dekha hoga jab ham log kisi blog ya website par jaate hai toh vaha par aapko kai jhag par ads dikhayi dete hai kisi or product ya company ke aur unke niche side me likha hota hai ads by google. dosto ve sabhi ads google ad world duvara hi dikhaye jaate hai .aur ye sab keywords par depend hota hai ki konsa ad kis website par dikhaya jayega.
Google Adworld kaise kaam karta hai ?
Dosto toh chaliye ab ham jaan lete hai ki google adword kaam kaise karta hai.
Dosto jab koi vyakti aapke kisi keyword ka use karke google par search karta hai toh wahan par un results ke saath google adword ke ads bhi dikhaye jaate hai. ads ka vaha par ek shuru me alag coloum bana hota hai. aap apne business ke ads google adword ki madad se kai prakar ke bana sakte ho jaise videos ads ya phir text ads etc.
Aur aap logo ke google adword ke account mai jo paise honge unka upyog karke aap un ads ko google search results mai dikha sakta ho. dosto jaise ki maine aapko phle bhi btaya hai google adworld ki sabse acchi bat ye hai ki usme account se paise jab hi kat hote hai jab koi hmare ads par click karega. aur ye baat aap sab log bhi jaante honge bina kisi wajah ya kaam ke koi bhi ads par click nahin karta koi bhi vyakti ads par jab click karta hai jab woh ads uske kaam ke ho.
Google Adword ka Use Kyu Karna Chahiye ?
Dosto ab baat karte hai ki google adword itna popular kyu hai aur ye itna jyada use kyun hota hai. dosto sabse pahle ki google adword google ka hi part hai aur dosto google adword google ke saath 100% friendly hai isme aapka account 100 safe rahta hai aur isme aapko charge jyada nhi dena padta hai dosto agar aap log ek website ya blog chalate ho to aapko pata hoga ki agar aap log apne website se paid traffic lete ho toh wahan par aapko strike aa jati hai ye google ke rules ke against hai toh wahan par aap log agar chaho to apni site par traffic google adword ke through le sakte ho.
Ye ek Guest post hai jo tech365.ooo ke founder Sadik saifi dwara likhi gayi hai ye bhi apne blog par bahut acchi – acchi new jankari publish karte rahte hain so ek baar inke blog par visit jaroor kare mujhe ummid hai ki inka blog aapko bahut pasand aayega.
aap sabhi ka ye post padne ke liye dhanyavad agar aap log aisi or post padhna chate ho to please click here
Thanks and keep visit