Mukesh Ambani Biography In Hindi

Mukesh Ambani Biography In HindiĀ 

Mukesh Ambani Biography In Hindi

Mukesh Ambani ek aisa naam hai jisko India ka har ek insan acche se jaanta hai ji haan doston Mukesh Ambani India ke sabse Rich Man hain aur Reliance Industries ke Chairman hain. Doston bataya jaata hai ki ye 1 minute me 2,50,000 rupees kamate hain jis baat se ye saabit ho gaya hai ki ye World me 35ve sabse ameer logon ki list me shamil hain.

Reliance Communication ko India ki sabse badi telecom company maana jaata hai lekin abhi haal hi me Mukesh ambani ne Reliance Sim ko band kar diya hai jiska main reason ye hai ki ab woh sirf Jio Telecom par hi dhyaan dena chahte hain.

Jio Infocom Ltd. jabse launch hui hai tabse India me sabhi telecom company ke beech tahalka macha hua hai kyunki aajtak aisi koi sim nahin bani jo jio se saste plan de sake.

Mukesh Ambani ko Cricket ka bhi bahut shauk hai isliye woh har saal IPL me apni khud ki Team lekar aate hain ji haan doston Mumbai Indian team ko toh har koi jaanta hoga is team ke Maalik Mukesh Ambani ji hain.

Chaliye doston Mukesh ambani ke baare me poori jankari lene ke liye hum aapko unke bachpan se lekar ab tak ke jeevan ke baare me batate hain

Mukesh Ambani Full Biography In Hindi

Birth Date – 19 April 1957 in Aden, Yemen

Wife Name – Nita Ambani

Father Name – Dhirubhai Ambani

Mother Name – Kokilaben

Brother Name – Anil Ambani

Sister Name – Deepti Salgaonkar aur Nina Kothari

Primary Education Complete – Hill Grange High School Mumbai

Degree – Bachelor Of EngineeringĀ 

Bachelor of Engineer ki Degree lene ke baad Mukesh ambani apni baaki ki study karne ke liye USA chale gaye jahan par unhone Stanford University me padhayi ki lekin kuch din baad woh padhayi adhoori chodkar India baapas aa gaye aur apne Father ke kaam me haath bantane lage.

Mukesh Ambani ne September 2016 ko Jio Infocom ltd company launch ki jisse unhe bahut badi kamyabi mili sirf 170 din me unhe 100 million se bhi jyada customers mil gaye.

Mukesh Ambani ne 8 March 1985 ko Nita Ambani se shaadi ki aur aaj unke 3 bacche hain Akash, Anant aur Isha.

Mukesh ka ghar Antilia poori duniya ke sabse mehenge gharon me se ek hai bataya jaata hai is ghar ko banane me 2 Arab Dollar lage hain aur ye 400000 sq ft. me bana hua hai jabki is ghar me sirf 27 log rahte hain. Antilia Mumbai ke Atlamount Road par stith hai aur mukesh ji ne apne is ghar ki dekhbhal aur rakh rakhav ke liye 639 workers rakhe hain.

Woh kahte hain jiske paas dimaag hota hai woh kahin fail nahin hota aise hi Mukesh ambani apne bussiness ko is tarah se chala rahe hain ki aaj unki Company aasman ki bulandi par hai aur day by day uski popularity badhti hi ja rahi hai.

Ye Jaroor Padhe >>

Doston agar aapko ye jankari acchi lage toh please share kare aur neeche comment me apni raay den.

Mukesh Ambani Biography In Hindi

hindimegyaan

Leave a Comment