Android phones me internet chalane ke liye browser ki jaroorat padhti hai par kaun sa browser best hain ye jaanne me bahut dikkat hoti hai isliye aaj me aap logon ko 5 aise browser ke naam batane wala hun jo sabse best hain aur sabse jyada use kiye jaate hain.
Me aapko jo browser batane wala hun unko aap playstore se download kar sakte hain.
1.Dolphin – Dolphin browser sabse best browser hain iski khaas baat ye hai ki ye sabhi ads ko block kar deta hai aur har user yahi chahta hai ki kuch bhi chalate waqt ads show na ho kyunki ads ki wajah se internet chalane me bahut disturbance hota hai.Is browser me variety of theme ka option uplabdh hai jisse aap apne browsing karne ke experiance ko increase kar sakte hain matlab aapko is browser ko use karne ka man karega.Sabse acchi baat toh ye hai ki isme gesture facility aur incognito mode ka option bhi hai jo bahut accha hai.
2.UC Browser – India me ye browser kaafi log use karte hain aapne iske baare me jaroor suna hoga is browser ke kaafi saare version hain aap kisi bhi version me inko install kar sakte hain.Is browser me kaafi features hain jaise fast downloading,Fast browsing,AD Blocks,Gesture,Incognito mode aur sabse accha feature ye hai ki aap isme music aur video ko bhi play kar sakte hain aur image viewer bhi use kar sakte hain.
3.Opera – Ye browser sabse old browser hai aur iske 3 version hai aap isko kisi bhi cheej me use kar sakte hain chahe woh laptop ho ya phone ho.Is browser me sabse khaas baat ye hai ki aap isme data save kar sakte hain matlab aap jo bhi internet data use kar rahe hain usme se kaafi data aapko return kar diya jaayega aur aapko data kam kharch hoga.
4.Firefox – Firefox ek aisa browser hai jo pc me sabse jyada use kiya jaata hai bahut kam log jaante hain ki firefox ko apne phone me bhi use kiya ja sakta hai aap isko playstore se install kar sakte hain.Ye browser sabse best hai kyunki isme aap sabse browser se jyada secure rah sakte hain.Is browser ko log isliye jyada use karte hain kyunki isme HTML 5 ka feature uplabdh hai jisse aap apne homepage ke panel ko edit karke dekh sakte ho.
5.Chrome – Agar aap android phone ya phir laptop ka use karte hain toh aapko is browser ke baare me jaroor pata hoga kyunki shayad hi koi insaan hoga jise is browser ke baare me thodi bhi knowledge na ho.Is browser me kaafi saare features hain jaise gesture facility,incognito mode aur ye ek safe and secure browser hai.
Ummid hai ki aapko ye article bahut pasand aayega plz isko share jaroor kare aur ho sake toh neeche diye gaye articles ko bhi jaroor pade.
YE Bhi Pade—
Top 5 Browser For Android Smartphone
Android version ek aisa version hai jo world me sabse jyada famous hai kyunki isme bahut types ke features uplabdh hain.Ab tak ki sabhi company android version launch kar chuki hain par apple company ne abhi tak android version launch nahin kiya hai.
Bahut Hi Achi Post Hai
Wow! Its Really Helpful Post Thank You For Share
Bahot Achhi Jankari Dii Hai Apne Thank You Sir!