Freenom Se Free Domain Kaise Le – Tricks In Hindi

Hello Friends aaj me aap logon ko ye bataunga ki free me domain name kaise lete hain kyunki koi time aisa hota hai ki hume domain name ki jaroorat padhti hai aur hamare paas usko buy karne laayak budget nahin ho paata hai us time aapko freenom website bahut madad karegi kyunki isse aap free .tk aur .ml extension ke domain name buy kar sakte hain.

free domain name kaise le


Agar aapne new blog banaya hai aur aap blogging me hi apna career banana chahte ho toh aapko apne blog par ek domain name add karna hoga kyunki wohi blog jyadatar famous hote hain jinka khud ka domain name khareeda hua hota hai.Yahan par aap 2 tarah se domain name khareed sakte hain pahla aap free bhi le sakte hain aur paise dekar bhi le sakte hain par free aur paid me bahut difference hai kyunki free me aapko sirf .tk aur .ml extension hi milegi aur paid me aap kisi bhi naam ko extension bana sakte hain.

Agar aap chahte hain .com domain aapko free me mil jaaye toh ye bilkul possible nahin kyunki .com ke liye aapko paise dene honge agar aap chahe toh aap isko freenom se khareed sakte hain lekin agar aap free domain use karna chahte ho toh sirf .tk aur .ml hi milenge.


Read Also – Computer Me Google Fonts Kaise Install Kare

Freenom Se Free Domain Name Kaise Register Karte Hain


Agar aapko hamesha free domain name chahiye toh aapke liye sabse best freenom website rahegi kyunki ye bilkul godaddy site ki tarah hai yahan aapko free aur paid dono prakar ke domain milenge.


Agar aap freenom se free domain lena chahte ho toh aapko ispar register karna hoga kyunki jab tak aap ispar register nahin karoge ye aapko free domain nahin dega toh chaliye jaante hain ki freenom par register kaise hote hain.


1.Sabse pahle aap Freenom.com par jaiyye


2.Ab aap sign in par click kariye.


Register

3.Ab aapke saamne login karne ka form open hoga jisme aap apne facebook account ke jariye login kar sakte hain ya phir Google account se bhi login kar sakte ho.

Facebook login


Apne kisi bhi account se login karne ke baad aap start regsiter your domain par click kare uske baad aapke saamne domain availability search box open ho jaayega.


4.Ab aap jo bhi free domain lena chahte ho woh diye gaye search box me daaliye aur check availability par click kariye.


Check availability


5.Ab aapke saamne woh domain name aayega jo aapne search kiya hai jisme aap free extension di gayi hongi aap kisi bhi domain ko Get it now par click karke select kar sakte hain.


.tk


6.Ab aap Checkout par click kariye.


Checkout


7.Jaise hi aap checkout par click karenge aapka domain aap mil jaayega bas ab aapko isme kuch settings karni hai jaise.


Forward


  1. Sabse pahle aap Forward this domain par click kariye
  2. Ab aap apna domain name daale jo www ke saath hona chahiye
  3. Ab aap continue par click kariye
8.Ab aapke saamne ek form open hoga jisme aap apni sahi details bharni hai aur Complete Order par click karna hai

9.Ab aapke saamne ek confirmation link aayega jisme aap confirm karna hai ki aap ye free domain lena chahte ho confirm karte hi aapke account me domain name save ho jaayega jisko aap apne blog add kar sakte hain.

Toh doston itna sab kuch karne ke baad aapko sirf ek kaam aur karna hai matlab aap freenom site ke homepage par jaakar Service>>My Domain me jaana hai yahan par aapko aapka liya hua domain name dikhai dega jisko aap apne blog par laga sakte hain.

Ye Bhi Pade—-

Bina Number Ke Whatsapp Account Kaise Banaye

Uc News Se Paise Kaise Kamaye

Fake Number Se Call Kaise Kare

Ummid hai ki aapko ye article bahut pasand aayega kyunki ye ek free domain khareedne ke baare me hai aur free toh aajkal har kisi ko chahiye agar post pasand aaye toh plz share kare aur hamare blog ko subscribe bhi kare.
hindimegyaan

3 thoughts on “Freenom Se Free Domain Kaise Le – Tricks In Hindi”

Leave a Comment