Pc Ko Phone Se Control Kaise Kare Aur Apne Phone Ko Wireless Mouse Or Keyword Kaise Banaye

Kya apne android mobile se apne pc ko control karna possible hai ji haan doston ye possible hai ab aap apne android phone se apne pc ko control kar sakte ho main bhi is trick ko use kar chuka hun aur mujhe ye bahut acchi lagi isliye aaj me aap logon ke saath is trick ko share karne ja raha hun.

Pc Ko Phone Se Kaise Control Kare


Phone ko pc se control karne ki jaroorat tab padhti hai jab hamare laptop ka mouse ya keyword bekaar ho jaata hai aur hume pc ko chalane me dikkat hoti hai is problem ko solve karne ke liye ab aap apne pc ko phone se control kar sakte ho.


Computer Aur Mouse Ko Control Karna Kaise Possible Hai


Agar aap is method ka use karna chahte ho toh aapko ek kaam karna hoga ki aapke paas jo phone hai usme Unified remote naam ka ek apps download karna hoga aur pc me bhi is apps ko install karna padhega uske baad apne phone ko connect karne ke liye aap wifi ya bluetooth ka use kar sakte ho.jaise hi aapka laptop aapke phone se connect hoga aapke phone me saare controlling option aa jayenge jisse aap apne laptop ko full control kar sakte hain.


Unified Remote Ka Use Kyun Kiya Jaata Hai


  1. Maan lijiye ki aap apne phone me koi movie ya song dekh rahe ho aur aap laptop kaafi door rakha hai toh usko manage karne ke liye unified remote ka use kiya jaata hai.
  2. Unified Remote me aapko file manager ka option bhi milega jisse aap direct apne pc ki sabhi files ko manage kar sakte ho.
  3. Pc ki screen ko apne phone par mirror bhi kar sakte ho.
  4. Is remote me mouse aur keywords ke 2 features aur milte hain jisse aap apne laptop ko door bethkar apne control me rakh sakte ho.
  5. Aapke pc me jitne bhi software install hain unko control kar sakte ho.
  6. Isse aap apne pc ko on ya off bhi kar sakte ho.

Unified Remote Application Kahan Se Download Kare

Unified Remote App ko download karna bahut hi easy hai bas aap neeche di gayi steps ko follow kariye.

1.Sabse pahle aap apne Pc/Laptop/Computer me unified remote app download kariye aur usko install kare – Download Kare

2.Ab aap apne phone me unified remote app install kariye aap playstore par jaakar isko install kar sakte hain ya phir yahan click karke install kariye – Install Now

Itna sab karne ke baad aapko apne wifi ke jariye ya phir bluetooth ke jariye apne phone ko laptop se connect karna hai.

Toh doston ye jaroor bataye ki aapko mera share kiya hua ye article kaisa laga aur agar kuch samajh me na aaye toh comment kare aapki har problem ka solution sirf 30 minutes me nikaala jayega.

Ye Bhi Pade—

Jio Me Summer Offer Kaise Activate Kare

Computer Software Ki Product Key Kaise Jaane

Top 10 Android Apps For Important Works

Plz post ko read karne ke baad share jaroor kare aur hamare blog ko subscribe bhi kare kyunki hum ispar daily new tips and tricks ko share karte hain.
hindimegyaan

Leave a Comment