Blog Me Indian Flag Cursor Widget Kaise Lagate Hain

Hamari Country me Independance aane par bahut si khushiyaan manai jaati hain jisme har type ka insaan alag alag tareeke se apni khushi ko show karta hai par aaj me aap logon ko liye aisa article lekar aaya hun jo sirf bloggers ke liye hai aur us khushi ko sirf bloggers hi show kar sakte hain mera matlab aaj me aap logon ko aisi jankaari dene wala hun jiske jariye aap apne blog par Indian Flag Cursor laga sakte hain jisse logon ko pata chal sakega ki aapko apni conutry ke prati kitna lagaav hai.

blog me indian flag cursor kaise lagate hain


Independance day aane par logon ke ander ka patriotism jaag uthta hai woh dikhaane lagte hain ki hume bhi apni country se bahut pyaar hai is article ko jyada se jyada share kare kyunki isme me aisa html code dene wala hun jisse aap apne blog par indian flag cursor ki widget laga sakte hain.

Sab log apn country ke prati alag alag tareeke se pyaar dikhaate hain jaise facebook par log flag ki photo upload karte hain,twitter me status daalte hain aur kuch log bike par tiranga lagakar apni khushi ko show karte hain lekin aaj me aap logon ko aisi trick batane wala hun jisse aap apne blog par apni khushi show kar sakte hain toh chaliye jaante hain.

Read Also – Top 10 Free Apps For Android Mobile

Indian Flag Cursor Blog Me Kaise Lagate Hain

Blog me indian flag cursor lagana bahut hi easy hai par iske liye html code ki jaroorat padhti hai jo aaj me aap logon ke saath share karne wala hun toh chaliye start karte hain.

1.Sabse pahle aap apne blog ke dashboard me jaaye.

2.Ab aap layout par click karke add a gadget par click kariye.

3.Ab aap html/javascript par click kariye.

4.Ab neeche 2 type ke indian flag cursor ke code diye hue hain aapko jo accha lage aap copy karke html.javascript box me paste kar dijiye.

1.Indian Flag Cursor

<style type=”text/css”>body, a:hover {cursor: url(https://1.bp.blogspot.com/-yDrvHovtrtM/V61Xru-qvaI/AAAAAAAABWk/CSCm0VBxmxcDqInahx2TMDiDX7AxjuYhgCLcB/s1600/indian%2Bflag.gif), progress;}</style>

 2.Indian Flag Cursor

<style type=”text/css”>body, a:hover {cursor: url(https://2.bp.blogspot.com/-xje7LPrx9U8/V62MRL64WAI/AAAAAAAABW4/V1rInlZ83tsDP8v-FqfAYnkIYURX53aegCLcB/s1600/indian%2Bflag.gif), progress;}</style>  

 Toh Doston kaisi lagi aapko ye post plz isko share jaroor kare aur comment me bataye ki aapko ye article pasand aaya ya nahin agar aapka koi sawaal hai toh aap comment box me pooch sakte hain. 

hindimegyaan

Leave a Comment