Hello friends welcome to hindimegyaan aaj me aapko blogging karke paise kaise kamate hain ye batane ja raha hun.Blogging ek aisa work hai jo online bussiness me top par aata hai kyunki lakho log blogging se bahut saare paise kama rahe hain.Blogging me daily jaane kitne log kadam rakhte hain lekin unme se kuch hi log success hote hain kyunki blogging karna har kisi ke bas ki baar nahin hai.Jis tarah daily online bahut saare blog ban rahe hain usi tarah unse paise kamane ke bhi bahut se tareeke nikalte rahte hain.
Blogging karna time to time aur jyada famous work hota ja raha hai agar aap bhi chahte hain ki aapka bhi ek aisa blog ho jisse aap lakhon rupees monthly kamaye toh aap sabse pahle apna ek blog banaye – Blogger par free blog kaise banate hain
Doston blogging se paise kamana itna easy nahin hai iske liye aapko bahut hard work karna hoga.Mujhe blogging start kiye hue 7 month ho gaye aur me apne blog se acche paise kama raha hun starting me maine bahut si problem ka saamna kiya hai lekin ab me success ki aur badhta ja raha hun aur daily apne blog par traffic increase hota dekh raha hun jiski wajah mera kiya gaya hard work hai.
Ye Bhi Pade–
- top 10 Free Apps For Android Phone
- Top 5 Browser For Android Smartphone
- Apne Naam Ki Ringtone Kaise Banaye
- Blog Ko Daily Updates Karne Ke Fayde
- Alexa Rank No Data Show Kyun Karta Hai
Doston Jaise ki aapko ek month kaam karne ke baad hi sallary di jaati hai lekin blogging ek aisa job hai jisme agar aapne koi post publish ki toh woh aapki poori life aapko income deti rahegi.
Doston blogging se paise kamane ke bahut se tareeke hain lekin uske liye blog ka traffic dekhna padhta hai ki kaun se blog par kitna traffic aa raha hai aur kis platform se jyada income ho sakti hai jaise kisi blog par affiliate marketing se jyada income hoti hai aur kisi par adsense ya dusre advertisement platform se jyada income hoti hai ye aap khud decide kar sakte hain ki aap apne blog par kya use kare toh jyada income hogi.
Waise toh maine jitne bhi hindi blogger dekhe hain sabhi apne blog par Adsense ka use karte hain kyunki ye hindi bloggers ke liye sabse best advertisement platform hai isme ads par click karne ke paise milte hain iske alawa bhi hindi blog par bahut se platform se paise kamaye ja sakte hain.
Jab me blogging me bilkul new tha tab mujhe sirf ye knowledge thi ki blog par adsense ke ads lagakar paise kamaye jaate hain lekin ab mujhe blogging karte huye 7 month ho gaye aur me blogging ke baare me itna kuch jaan chuka hun ki mujhe blogging karne ka nasha sa lag gaya hai jiski lat mujhe ab kabhi nahin chootegi.
Aaj me aap logon ki blogging se paise kamane ke 5 tareeke batane wala hun jinme se aap kisi bhi tareeke ko apnakar apne blog se acchi income kar sakte ho.
Blogging Se Paise Kamane Ke 5 Sabse Acche Tareeke Jaane
Doston ek baar me pahle kahna chahunga ki agar aap ek hindi blogger hain aur aap apne blog se jyada income earn karna chahte hain toh aap apne blog par adsense ka use kare ye hindi bloggers ke liye sabse best hai.
Adsense hindi bloggers ke liye isliye best hai kyunki ispar sirf clicks ke paise milte hain lekin agar aap meri baat se sehmat nahin hai toh chaliye me aapko dusre tareeke bhi bata deta hun aap unko bhi try karke dekh sakte hain aur aapko jo accha lage aap usko apne blog par use kar sakte hain.
1.Adsense
Adsense ek aisa advertisement platform hai jo hindi blog par sabse jyada use kiya jaata hai kyunki ispar sirf clicks ke paise milte hain.agar aap bhi hindi blogger hain toh me aapko suggest karunga ki aap bhi apne blog par adsense ka hi use kare.
Hindi bloggers ke liye Adsense affiliate marketing ke muqable behtar hai ki kyunki hindi blogs par jyadatar log local location se aate hain jo affliate program buy nahin kar sakte aur affiliate marketing me tab hi income hoti hai jab koi unka product buy karega isliye adsense hindi bloggers ke liye sabse best hai.
- Adsense Approve Kaise Karaye 15 Din Me
- 4 Big Reasons Jinki Wajah Se Google Adsense Se Low Earning Hoti Hai
- Blog Ke Saare Posts Me Adsense Ke Ads Kaise Lagaye
2.Affiliate Marketing
Affiliate marketing Blog se paise kamane ka sabse best tareeka hai lekin iske liye aapke blog par lagbhag 7000 pageviews daily hona chahiye kyunki jab tak koi aapke affiliate ads par click karke us product ko buy nahin karega tab tak aapko income nahin hogi isliye affiliate marketing ke liye blog par bahut traffic hona chahiye.
Internet par affiliate ke bahut se platform hain jaise – Hosting,Domain,Amazon,Flipcart aur bhi bahut saare platform hai jo aapko bahut acchi commision dete hain.
3.Infolinks
Infolinks jyadatar un logon ke liye hai jinka blog tech se related hota hai agar aapka blog tech se related hai tab hi apne blog par infolinks ka use kar sakte hain warna ye aapke kisi kaam ka nahin hai.
Infolinks ke ads blog par lagana bahut hi simple hai bas aap apne blog ko infolinks se connect kar dijiye baaki ye khud aapke blog ke top words ko link me convert kar dega.
Agar aap apne blog par infolinks ka use karna chahte hain toh me aapko ek baat bata dun ki infolinks ka use karne se blog ka traffic daily low hota jaata hai jiski wajah ye hai ki infolinks aapke content ko link me badal deta hai jiski wajah se logon ko aapke blog par bahut problem hoti hai aur woh aapka blog visit karna band kar dete hain.
4.Start Services
Agar aapko blogging ke baare me acchi knowledge hai matlab aapko blog ka seo,designing,web developing aur bhi kisi baare me agar aapko knowledge hai toh aap apne blog par iski service start kar sakte hain kyunki new blogger ko in cheejon ki jyada knowledge nahin hoti hai isliye woh paise dekar aapke blog par karwa sakte hain.
5.Sell Product
Agar aapke blog par accha traffic aata hai toh aap uspar product ko sell karke bhi acche paise kama sakte hain.Aapke blog par jis hisaab ka traffic aata hai usi hisaab se aap uspar product sell kar sakte hain aur woh product ke price bhi aap visitors ko dekhkar hi rakhe kyunki India me jyada costly cheej sell nahin hoti hai.
Ummid karta hun aapko ye article jaroor pasand aayega iske jariye aap apne blog se 5 tareeke se income kar sakte hain aur agar aap chahe toh ek saath sabhi tareeko ka use karke bhi bahut acche paise kama sakte hain lekin uske liye aapke blog par traffic bahut hona chahiye kyunki kam traffic par toh adsense se bhi income nahin ho paati hai.
- Blog Me Indian Flag Cursor Widget Kaise Lagaye
- Blogger Blog Par Sabhi Language Me Post Kaise Likhe
- Blogger Template Ko Change Kaise Karte Hain
Agar aapko hamara blog pasand aaye toh plz isko subscribe kare aur agar aapko koi problem hai toh aap comment kare aur apni problem bataye hum bahut jald aapki problem ka solution aapko batayenge.
Nice Post..
Mostly I like Your Writing Skill..
Best Wise For Your Next goal..
Please check out my website https://kaisekare.net