Aksar aisa hota hai ki hamara mobile chori ho jaata hai ya phir kho jaata hai tab hamare dimaag me ek hi sawaal aata hai ki kaash me apne mobile ko dhoondh paata toh doston ab aapko jyada pareshaan hone ki jaroorat nahin kyunki ab aap bahut hi easily apne mobile ki location ko pata karke apne mobile ko dhoondh sakte hain.
Kuch logon ko is baat ka jyada bura nahin lagta ki unka mobile chori hua hai bas unhe is baat ka darr hota hai ki unke mobile me kuch personal data hai aaj me aapko is baare me bhi information doonga ki agar aapke mobile me aapka personal data hai aur woh chori ho jaaye toh kya kare.
Waise khoye hue ya chori hue mobile ko dhoondhna itna asaan nahin hai lekin phir bhi agar aap meri batayi huyi trick ka use karoge toh aap apne mobile ko dhoondhne me success jaroor ho jaoge.
Read Also – Blogger Blog Me Facebook Like Box Kaise Add Kare
Mobile Dhundne Ke Liye Kin-Kin Requirements Ka Hona Jaroori Hai
Doston aap ye sonch rahe honge ki aap bina kisi requirements ke apne mobile ko dhoondh sakte hain nahin doston mobile phone dhoondhne ke liye aap jis mobile ko dhoondhna chahte ho usme aapko Email id se login hona jaroori hai agar aisa nahin hua toh aap apne mobile ka pata nahin laga sakte.
Isliye is baat ka dhyaan rakhe ki hamesha apne phone me gmail id se login karke rakhiye kyunki waqt ka koi pata nahin hota hai kya pata aapka phone gum ho jaaye.
Read Also – Mobile Number Kis Naam Se Hai Kaise Jaane
Mobile Phone Chori Hone Ke Baad Kya-Kya Kare
Mobile Phone Ke chori ho jaane ke baad hume pata chalta hai ki usme kuch important data hai jiska koi bhi galat use kar sakta hai isliye chaliye me aapko bata deta hun ki apne data ko secure kaise kare aur apne mobile ko kaise dhoondhe.
1.Sabse pahle aap is link par click kariye – android.com/devicemanager
2.Link par click karte hi aapko login karne ko bola jayega aap us gmail id se login kariye jo aapke chori huye phone me darj hai.
3.Uske baad aapke saamne Android device manager ki website open ho jayegi jisme aap apne mobile data ko secure aur location ko trace kar sakte hain.
- Yahan par click karke aap apne phone ka naam change kar sakte ho.
- Is option par click karke aap apne phone ki location ko trace kar sakte hain jisse pata chal jaayega ki aapka phone kahan par hai
- Ring par click karke aap apne phone me Ringtone baja sakte ho.
- Yahan par click karke aap 2 kaam kar sakte ho pahla aap apne phone ko lock kar sakte ho jisse koi bhi aapka phone use nahin kar payega aur dusra ye ki aap apne phone ke sabhi data ko delete kar sakte ho.