Message Send Karke Kisi Bhi Android Phone Ko Switch Off Kaise Kare

Hello friends aaj me aapko bahut hi interesting tricks batane wala hun jiske jariye aap apne android phone ko kisi bhi phone se message send karke swith off kar sakte ho.Ab aap ye sonch rahe hain ki ye kaise ho sakta hai lekin doston jab aapko sunne me hi itna maza aa raha hai toh ye sonchiye ki is trick ka use karne me kitna maza aayega toh chaliye agar aap ye trick jaanna chahte ho toh is post ko poora padhiye.

Message send karke kisi bhi android Phone Ko Switch off kaise kare

Doston ye trick bahut hi useful hai kyunki aajkal aisa zamana chal raha hai ki har kisi ke phone me uski personal cheej jaroor hoti hai jiski wajah se woh apna phone kisi ke paas bhi nahin chodta hai lekin kabhi-kabhi aisa hota hai ki dhoke se hamara phone ghar par ya kisi dost ke paas rah jaata hai tab hume yaad aata hai ki hamare phone me kuch aisi cheejen bhi hain jinko agar kisi ne dekh liya toh problem ho sakti hai.Aaj me aap logon ko is problem se bachne ka solution batane wala hun jaanne ke liye aage tak ka poora post padhiye.

Doston ab me topic par aata hun ki jaise aap ghar se nikle phir aapne apni pocket me dekha toh mobile hi nahin hai tab aap sonchte hain ki kahin koi aapki personal cheejon ko dekh na le isliye aaj me aapko ek aisa tareeka bataunga jisse aap apne android phone ko apne kisi bhi phone se swith off kar sakte ho.

Kisi Bhi Phone Se Message Send Karke Apne Android Phone Ko Switch Off Kaise Kare

Doston ye trick bahut hi easy hai bas aap neeche di gayi steps ko follow kariye.

Sabse pahle toh ye jaan lijiye ki aisa karne ke liye aapko 2 cheejon ki jaroorat padhegi.

  1. Aapka Android Phone Rooted Hona Chahiye –Android Phone Ko Root Kaise Kare
  2. Aapke android Phone Me Remote Power Off naam ka ek application istall hona chahiye.

Toh chaliye doston start karte hain–

Step 1.Sabse pahle aap apne phone me Remote power off app install kariye aur open kariye.

Step 2.Open Karne ke baad aapke saamne 3 block open honge jinme aapko code enter karna hai.

Message send karke kisi ke bhi android phone ko switch off kaise kare

  1. Current Code – Yahan par aap “null” fill kar de
  2. Enter New Code – Yahan par aap apni pasand ka koi bhi code daal de
  3. Retype New Code – Yahan par dowara se apni pasand ka code daal de.

Note : Yaad rahe jo new code aapne enter kiya hai usko theek se yaad kar le kyunki jab bhi aap apne adroid phone ko switch off karna chahoge toh aapko us code ki jaroorat padhegi.

Ab aapke android Phone Me remotely switch off service activate ho chuki hai.Ab aap apne android phone ko kahin se bhi aur kisi bhi dusre phone se switch off kar sakte hain iske liye aapko apne android phone par kisi dusre phone se messge karna hoga.Aap kisi bhi phone se message kar sakte hain chahe woh android ho ya phir bilkul simple sa phone.

Ab aap ye sonch rahe honge ki kaun sa message send karke apne android phone ko switch off kar sakte hain toh doston me aapko bata dun ki aapne jo code enter new code me daala tha woh code apne android phone par kisi bhi phone se send karke switch off kar sakte hain.

Note – Doston yaad rahe ki sms bhejne se pahle is aaplication ko grant karna padhta hai jo supersuer permission se hota hai iske liye aapko superuser app ko open karna hoga aur usme Remember my choice ko select karna hoga.

Ye Bhi Pade–

Toh Friends plz jaroor bataye ki aapko ye article kaisa laga aur plz isko share kare.

hindimegyaan

2 thoughts on “Message Send Karke Kisi Bhi Android Phone Ko Switch Off Kaise Kare”

Leave a Comment