Doston aaj me ek bahut accha article lekar aaya hun jisme aapko ye jaanne ko milega ki kaun si tips ko apnakar aap apne phone ki battery bacha sakte hain.Jab bhi aapke phone me red signal show hota hai toh aapka dimaag kharab ho jaata hai kyunki tab aapke phone ki battery low hone wali hoti hai tab aap sirf usko charge karne ke baare me sonchte hain.
Aap apne kitne bhi bade kaam me busy hain lekin jab aapka phone low hota hai tab aap yahi sonchte hain ki sirf aapka phone charge ho jaaye.
Toh doston aaj me aapke liye ek aisa article lekar aaya hun jisse aapke smartphone ki battery low hone ki problem se chutkara mil jaayega jisse aapko phir kabhi bhi battery low hone ki problem nahin hogi.
Doston me 10 best tareeke batane wala hun jinhe apnakar aap apne phone ki battery low hone se bacha sakte hain.toh chaliye jaante hain–
- PAN Card Activate Hai Ya Deactivate Kaise Jaane
- Facebook Par Sabhi Friends Ko Ek Saath Unfriend Kaise Kare
- Blog Me Facebook Like Box Kaise Lagaye
10 Tareeke Jinse Aapke Phone Ki Battery Kabhi Low Nahin Hogi
1.Flight Mode
Jab aap apne phone ko charge kare toh usko flight mode par daal le isse aapke phone ki battery jaldi charge hogi aur usme power bhi jyada hogi aur agar aap daily isi tarah apne phone ko charge karenge toh aapke phone ka battery pickup bhi badh jaayega.
2.Apne Phone Ki Battery Ko Fridge Me Rakhe
Doston agar aapke phone ki battery bahut jald low ho jaati hai toh aapki battery me koi kami nahin hai lekin woh ander se hot ho jaati hai isliye usko aisi jagah par rakh dena chahiye jisse usko thodi cooling mil sake isse aapki battery bahut rukne lagegi.
3.GPS Ko Band Kar De
GPS toh aap sab log jaante hi honge gps se aapke phone ki location trace ki jaa sakti hai agar aap apne phone me hamesha GPS open karke rakhenge toh aapke phone ki battery bahut jaldi khatam ho jaati hai isliye GPS ko sirf kaam ke waqt hi open kare baaki time use band kar de.
4.Download Power Saving Application
Power saving app download karne se aap apne phone ki battery ki save karke rakh sakte hain matlab aapke phone ki battery jab tak low nahin nhogi jab tak aap usko disable nahin karoge.
5.Brightness Kam Kare
Doston sabse main wajah hamare phone ki brightness hi hoti hai jiski wajah se hamare phone ki battery low ho jaati hai lekin agar aap apne phone ki brightness low karke rekhenge toh aapke phone ki battery bahut rukegi aur aapki aankhon ko bhi koi nuksaan nahin degi.
6.Wallpaper Bilkul Simple Lagaye
Agar aap apne phone me 3d wallpaper use karte ho ya phir koi dusra wallpaper use karte ho toh yaad rahe ek wajah ye bhi aapke phone ki battery low karne ki hai isliye aap apne phone me koi simple sa wallpaper use kare.
7.Vibration Mode Par Na Rakhe
Kuch log apne phone me vibration lagakar rakhte hain lekin unhe pata nahin hota hai ki vibration itna battery use me leta hai jitni aapke phone ki ringtone bhi nahin legi isliye apne phone me kabhi vibration on nahin kare.
8.Notifications Ko Band Kar de
Aapke phone me jitne bhi apps hain unke notifications toh jaroor show hote hain isliye agar aap apne phone ki battery bachana chahte ho toh sabhi softwares ke notifications bad kar de.
9.Bluetooth Ko Off Rakhe
Doston phone me bluetooth on karne se bhi bahut battery khatam hoti hai isliye apne phone ki bluetooth hamesha band rakhe.
10.Charging Par Lagakar Phone Use Na Kare
Doston yaad rahe kabhi bhi charging par lagakar phone ko use nahin karna chahiye warna aapka phone kharaab ho sakta hai aur isse aapke phone ki battery dheere dheere kharaab hone lagegi.
Toh doston ab toh aapko maloom ho gaya ho gaya ki kaise aap apni battery ko jyada rukne laayak bana sakte hain.
- Android Phone Ko Hang Hone Se Kaise Bachaye
- 5 Best Android Apps Jinse Aap Unlimited Free Call Kar Sakte Ho
- Social Follow Button Blog Me Kaise Lagate Hain
- Top 10 Free Apps For Android Phone
Agar aapko mera ye article pasand aaye toh plz comment kare aur plz is article ko share bhi kare.
Nice Post Brother.
thanks and keep visit
Thanks for useful information. really helpful
thanks and keep visit