Jio Phone Booking Kaise Kare – Jio Phone Book In Hindi

Namaskar doston aaj me aapko Jio phone ke baare me batane wala hun ki jio phone kaise book kare.Aaj 25 August hai aur aaj digital india concept ke liye bahut bada din hai kyunki aaj jio ne market me apna new jio phone launch kiya hai jiski booking aaj shaam 5:30 se start ho jaayegi.Is phone ki keemat only 1500 rupees hai jabki booking ke liye advance me sirf 500 hi dene honge baaki jab aapko phone deliver kiya jaayega tab dene honge.

Jio phone booking kaise kare

Bahut se logon ko jio phone ka bahut hi besabri se intezaar tha toh doston aaj woh din aa hi gaya aajse aap jio phone ki booking kar sakte hain iske liye aapko advance me sirf 500 rs. dene honge baaki 1000 rs.delivery ke time dene honge.

Jio Phone Lene Ke Fayde

Jio Phone lene se aapko bahut saare fayde mil rahe hain chaliye me aapko kuch fayde bata deta hun.

  • Is phone ko aap sirf 3 years ke liye use kar sakte hain uske baad aap isko baapas karke apne 1500 rupees return(baapas) le sakte hain.
  • Ye Phone 4G hai aur itna sasta 4G phone abhi tak market me nahin aaya.
  • Ye aapko bilkul free padh raha hai bas aise samajh lijiye ki mukesh ambani ji logon se loan le rahe hain ya phir phone ki security jama ho rahi hai.
  • Is phone ko lene se aapko Jio ka dhan dhana dhan offer 153 rupees me milega jabki dusre logon ko ye 303 me mil raha hai.
  • 153 waale plan me aapko wahi data milega jo 303 me milta hai.

Read This – Pan Card Ke Liye Online Apply Kaise Kare

Jio Phone Me Kya-Kya Features Hain

Doston jaisa ki iska price hai only 1500 rs. iske hisaab se is phone me bahut hi acche features hain aaiye jaante hain.

  • Alphanumeric Keyword
  • SD Card slot
  • Compact design
  • Radio
  • Torch
  • Support 22 languages
  • 4G Volte
  • 2.4 Inch OVGA display
  • Voice Command
  • Screen resolution – 320 X 240
  • Link To bank account
  • Jio Music,Jio tv,Jio Cinema apps etc.

Read This – Reliance Jio Me Free Dialer Tone Kaise Lagaye

Jio Phone Kaise Book Kare

Jio Phone Ko aap 3 tareekon se book kar sakte hain-

  1. Aap kisi mobile dealer ke paas jaakar jio phone ki booking kar sakte ho.
  2. Aap apne laptop par jio.com website par jaakar bhi booking kar sakte ho.
  3. Android phone me My Jio App install karke usse bhi aap booking kar sakte ho.

Toh chaliye doston ab hum aapko batate hain ki Android phone me My Jio app install karke jio phone ki booking kaise kare.

Step 1.Sabse pahle aap apne phone me My Jio app install kar le.

Step 2.Ab aap my jio app ko open kare wahan aap Pre-Booking now likha hua show hoga uspar click kare.

pre book now

Step 3.Ab aapke saamne phone number maanga jaayega wahan aap apna jio ka number daal de.

phone number

Step 4.Ab aapse aapki location ka pin code maanga jaayega wahan pin code daale(Yaad rahe jio ki delivery sabhi location par uplabdh nahin hai isliye aap kisi famous jagah ka pin code daale)aur proceed par click kar de.

pin code

Step 5.Ab aapke saamne Pay ka option aa jaayega wahan aapko 500 rupees pay karna hai isliye aap pay par click kariye.

pay

Step 6. Jaise hi aap pay par click karenge aapke saamne sabhi payment option aa jaayenge aap kisi se bhi 500 rupees ka payment karke apni booking ko success kar sakte hain.

payment

Step 7.Pay karne ke baad aap dowara se My Jio app ko open karke Manage Booking par click karke dekh sakte hain ki aapki booking success hui ya nahin.

Toh doston ye thi jankari jise padhkar aap jaan chuke honge ki Jio phone ki booking kaise karte hain isme maine bahut hi details se bataya hai ki jio phone kaise book kare.

Read-

Ummid hai aapko ye post jaroor pasand aayegi plz isko share jaroor kare aur comment me bataye ki aapko ye post kaisi lagi.

hindimegyaan

5 thoughts on “Jio Phone Booking Kaise Kare – Jio Phone Book In Hindi”

Leave a Comment