Aaj me jo post aap logon tak share karne ja raha hun isme me aapko ye bataunga ki agar aap apni Gmail id ka mobile number change karna chahte ho toh kaise kare.Is post me maine bahut hi simple tareeke se samjhaya hai aur saath me images bhi upload kiye hain jinhe dekhkar aap aur bhi asaani se apna gmail account ka mobile number change kar payenge.
Gmail Id Ka Mobile Number Kaise Change Kare
Gmail Id Par jo mobile mobile number daala hai usko change karna bahut hi simple hai toh chliye shuru karte hain—
Step 1.Agar aapne apni Gmail account me login nahin kiya hai toh sabse pahle login kijiye
Step 2.Ab aap Uper right side me jo profile hai uspar click kariye aur My account me jaiyye
Step 3.Ab aap Your Personal Info Par click kariye
Step 4.Ab jo page open hoga usme Phone section par click kare
Step 5.Ab aapke saamne edit ka ek icon aayega uspar click kare
Step 6.Edit icon par click karne ke baad aapse dowara login karne ko kaha jayega aap dowara login kare aur phir edit icon par click kare
Step 7.Ab aapke saamne ek window open hoga jahan par aapko Update Number ke button par click karna hai
Step 8.Ab aap apna New Number daaliye aur Verify ke button par click kijiye.
Step 9.Ab aap Get Code ke button par click kariye
Step 10.Get code par click karne ke baad aapke number par ek message aayega jisme ek code hoga usko yahan daalna hai aur Verify par click kar dena hai
Step 11.Verify par click karte hi aapka new phone number update ho jaayega.aap continue par click karke check kar sakte hain.
Toh doston kaisi lagi aapko meri ye jankaari agar acchi lage toh share jaroor kare aur comment me bataye aur agar aapko kisi bhi baare me kuch poochna hai toh aap mujhse comment karke pooch sakte ho.
Real Also–
Bussiness Ko Online Promote Kaise Kare
How To Increase Youtube Subscriber
Laptop Ko Secure Kaise Kare