Aapke Laptop Se Kya Connect Kiya Gaya Kaise Jaane

Doston jo bhi insaan computer use karta hai uska apne computer me kuch na kuch personal data jaroor hota hai par kya aapko pata hai ki aajkal log pendrive ya mobile ke jariye data ko bahut jaldi chori kar lete hain jo hume pata bhi nahin chal paata hai par ab aapko apne mind par jyada problem daalne ki jaroorat nahin hai kyunki aaj me aapke liye ek aisi trick lekar aaya hun jisse aap ye jaan sakte hain ki aapke laptop se kya kya connect kiya gaya hai.

aapke laptop se kya connect kiya gaya kaise jaane


Hacker 2 types ke hote hain ek jo aapke data ko apni location se hi chori kar leta hai aur dusra woh jo aapke data ko aapke laptop se tab hi chori kar paata hai jab aap apne laptop ko akele chodte hain ya use de dete hain isliye kisi bhi aise insaan ko apna laptop nahin dena chahiye jo aapke kaam se jalta ho ya aapke personal life ka dushman ho.


Read Also – Android Smartphone Ke Liye Top 5 Browser


Kaise Pata Kare Ki Computer Me Kya-Kya Connect Kiya Gaya Hai


Doston agar aapke paas laptop hai toh aur aap apne laptop ke baare me jaanna chahte ho ki kaun aapke laptop se pendrive ya phone connect kar raha hai toh aap is article ko poora padhiye.


1.Sabse pahle aap apne computer me USB Deview application install kariye.


2.Jab aapke laptop me usb deview app install ho jaaye toh aap usko open kariye aapko woh sabhi devices show hone lagenge jo aapke laptop se connect kiye gaye hain jaisa ki aap neeche diye gaye image me dekh sakte hain.


details


3.Ab aapke saamne sabhi devices open ho jaayengi lekin agar aap kisi ek device ki full information nikaalna chahte ho toh aap uspar click karke jaan sakte hain jaisa ki aap neeche diye gaye image me dekh sakte hain.


detail


Toh doston jiyna ho sake is article ko share kare taaki har koi isko jaan sake aur apne data ko chori hone se bacha sake.


Ye Bhi Pade—


Seo Kya Hota Hai Apne Blog Ka Seo Kaise Kare


Mobile Chori Hone Par Kya Kare


Ummid karta hun ki aapko ye article bahut pasand aayega.

hindimegyaan

Leave a Comment