Adsense Approve Kaise Karaye 15 Din Me – Tricks In Hindi

Adsense sabse important hota hai New blogger ke liye kyunki agar aapke blog par adsense approve nahin hoga toh aap apne blog se jyada paise nahin kama sakte kyunki Adsense ek CPC site hai

approval tricks

New blog banane ke baad sabse important kaam hota hai uspar traffic laana aur dusra kaam jo hai woh adsense approve karwana hota hai aur ye bahut hi hard work hai blogger ke liye kyunki adsense approve hone se pehle blog ko check karta hai agar us par kuch kami hoti hai toh woh approve nahin hota hai isliye pehle aapko apne blog ko saari kamiyo ko door karna hoga

Me aapko woh sab bataunga ki aapko apne blog me kya-kya sudhar karna hai aur kya new add karna hai adsense jaldi approve karwane ke liye

Toh chaliye shuru karte hain—

1.Adsense ek aisi CPC(Cost Per Click) Site hai jo blog par approve hone ke liye blog ke baare me poori detail jaanti hai ki Blog kiska hai aur blog kaun se topic par hai

Blog par sabhi page create kare jaise-Privacy Policy,About Us,Contact Us etc.
Blog par topic add kare ki aapka blog kaun si jaankaari deta hai ya kis topic par hai

2.Agar aapka blog new hai aur aap uspar daily attendance nahin karenge toh bhi aapka adsense approve nahin hoga isliye new blogger ko daily apne blog par kuch na kuch daalte rahna chahiye isse blog ka traffic bhi increase hoga aur adsense bhi jaldi approve ho jayega

3.Jyadatar logon ka adsense jo apply hota hai uski wajah hoti ki unke blog par traffic jyada hota hai isliye pehle aap apne blog par traffic laaye.Traffic laane ke liye aapko apne blog par Seo friendly post likhna padhegi aur apne blog ka seo karna hoga uske liye aap hamare seo se related post pade jinko padhkar aap apne blog ka seo acche tareeke se kar sakte hain

4.Blog par post karne ke baad usko social sites par share kare kyunki sabse jyada time log apne social sites par bitaate hain isliye uspar share karne se aapke blog ka traffic badhega aur aapka adsense bhi jaldi approve ho jaayega

Neeche kuch social sites hain post ko share karne ke liye

  • Facebook(ye sabse badhi social site hai)
  • Twitter(Ispar bussinessman apna waqt bitaate hain)
  • Whatsapp(Whatsapp ek bahut hi accha way hai traffic badhane ke liye lekin iske liye aapko ek bahut bada group banana padhega
5.Blog par adsense approve karane ke liye kam se kam 30 posts hona bahut jaroori hai warna aapka adsense approve hone me 6 months lag jaayenge

6.Agar aapka blog blogspot par hai toh aapko domain name khareed lena chahiye kyunki blogspot platform par bina domain ke adsense approve hone me bahut time lag jaata hai isliye blog banane ke baad aapko turant domain name khareed lena chahiye

Kuch blogger aise hain jo sirf blog se paise kamane jaante hain aur traffic unke blog par aata nahin.Agar aap bhi apne blog par daily updaets nahin karenge toh aapka adsense approve nahin hoga aur aap apne blog se paise nahin kama paoge

Doston ye hain kuch aisi tips jinko agar aap follow karenge toh aapke blog par adsense approved ho jaega aur aapke blog par traffic bhi aane lagega

Me jaanta hun ki ye tips un logon ke bahut kaam aayegi jinka abhi tak adsense approve nahin hua hai aur woh bahut pareshaan hote hain adsense approve karwaane ke liye

hindimegyaan

3 thoughts on “Adsense Approve Kaise Karaye 15 Din Me – Tricks In Hindi”

  1. Nice And Very useful info,
    This article important and really good the for me is.Keep it up and thanks to the writer.Amazing write-up,Great article. Thanks!
    used to really good
    your info is quite helpful to forever.Blogging

    Reply

Leave a Comment