Android Phone Ka Look Iphone Jaisa Kaise Kare

Hello doston har kisi ki ek khwahish hoti hai ki woh Iphone chala sake lekin har kisi ke paas itna budget nahin hota hai ki woh ek bhi iphone khareed sake lekin phir bhi agar aap chahte hain ki koi aisa system ho jisse android phone ko bilkul iphone ke look me use kiya ja sake toh aaj aap is article ko poora padhiye aaj me aap logon ko ye batane wala hun ki apne android phone ko iphone jaisa kaise banaye.

Iphone khareedne ke liye kitne price ki jaroorat hoti hai ye toh aap logon ko pata hi hoga har kisi ke bas ki baat nahin ki woh iphone khareed sake sirf wohi log iphone ka maza le paate hain jinke paas jyada budget hota hai par aaj me aapko ek free trick batane wala hun jisse aap apne kisi bhi android phone ko iphone jaise look me change kar sakte hain lekin jitne features iphone me hote hain woh sabhi aapko nahin mil sakte kyunki free toh free hi hota hai.

Agar aap bhi chahte hain ki aapke android phone ka look iphone ki tarah ho jaaye toh aap neeche diye hue sabhi tips ko follow kariye.



Smartphone Ko Iphone Kaise Banaye


Doston ek launcher hai jo aapke android phone ko iphone jaisa look de sakta hai lekin sirf look iphone jaisa hoga baaki sab features android phone ke honge free me aapko iphone ke maze lene nahin mil payenge.


1.Sabse pahle aap apne phone ke playstore me jaiyye aur wahan se xOS launcher download karke apne phone me install kariye aur agar aap easily download karna chahte ho toh neeche diye gaye link par click karke download kar sakte hain.


 
2.Jaise hi aap apne phone me xOS launcher install karke apply karoge uske baad aapke phone ka look same Iphone ki tarah ho jaayega.
 
Toh doston kaisa laga aapko ye chota sa article maana short hai par isme dum bahut hai kyunki ye ek aaplication aapko iphone ke maze lene ko de raha hai.

 
Ye Jaroor Pade—
 
 
 
 
 
Ummid karta hain ki aapko ye article bahut pasand aayega plz isko share jaroor kare aur comment karke apni problem jaroor bataye jald hi aapki problem ka solution hum ek new aricle ke saath lekar aayenge.
hindimegyaan

Leave a Comment