Bidvertiser Se Paise Kaise Kamaye Blog Banakar

Hello doston aaj me aapko Bidvertiser se paise kaise kamaye ke baare me batane wala hun Jaise Google adsense hai usi tarah Bidvertiser bhi ek advertising site hai.Ye ek PPC(Paid Per Click) Site hai ise 2003 me star kiya gaya tha.Internet par adsense ke alawa bhi bahut saari advertising sites hain lekin Bidvertiser un sabse behtar hai.Jyadatar blogger apne blog se paise kamane me unsuccess rahte hain kyunki unka adsense approve nahin ho pata hai aur woh apne blog par work karna band kar dete hain.

Bidvertiser Se Paise Kaise Kamaye

Bidvertiser ek aisa advertising network hai jo ads par click karne ke paise deta hai aur ispar account banane ke liye koi approvement system nahin hai adsense ki tarah aap direct ispar account banakar apne blog par ads laga sakte ho.Agar aapka adsense approve nahin hua hai toh aap bidveriser ke ads apne blog par lagaye isse bhi aap acche paise kama sakte ho lekin ye adsense se thoda kam paise deta hai clicks ke par jab tak aapka adsense approve nahin hota aap iska use kariye ye bhi bahut behtar hai

Bidvertiser Kya Hai


Iske baare me toh aapko pata chal hi chuka hoga kyunki me uper bata chuka hun ki ye ek Paid Per Click advertising network hai jo hume ads par click karne ke paise deti hai ye 1997 me launch hui thi lekin 2003 me ye logon ko paise kamane ka chance dene lagi.Bidvertiser bhi adsense ke saath hi launch hui thi lekin adsense aaj world ki best advertising site hai.Bidvertiser me ek khaas baat hai jo hai refferal program matlab agar aap apne blog par bidvertiser ke refferal program add karoge toh jab bhi koi uspar click karke bidvertiser par account banayega toh aapko uske paise milenge

Ye Jaroor Pade—

Top 5 android recording apps

On page seo kaise karte hain blog ka

Bidvertiser Par Account Banane Ke Liye Kya-Kya Chahiye

Bidvertiser par account banane ke liye kuch cheezen hain jinki zaroorat padhegi jo me aapko batane wala hun

1.Gmail Id-Gmail Id toh aap jaante hi honge jise kuch log email id bhi kahte honge.Jyadtar account banane ke liye Gmail id ka use hota hai Bidvertiser par bhi Gmail id ka use karna padhega

2.Paypal Account-Bidvertiser me aapko jo bhi kamai hogi use apne bank account me transfer karne ke liye aapko paypal ki zaroorat padhegi kyunki Bidvertiser par income dollar me hoti hai jise Indian me badalne ke liye paypal use kiya jaata hai

3.Blog-Bidvertiser se paise kamane ke liye aapko ek blog bhi banana padhega kyunki Bidvertiser hume ads deti hai jinhe hum apne blog par lagayenge tab hi hamari income hogi

Bidvertiser Par Account Kaise Banate Hain

Bidvertiser par account banane ke liye aapke paas Aapki Gmail Id aur Blog ka hona jaroori hai.agar aapke paas ye dono cheeze hain toh aap easy tareeke se ispar account bana sakte ho

Advertiser-Ye un logon ke liye hai jo apne blog,company ya kisi brand ko promote karna chahte hain isme aapko apne ads create karne ke liye paise dene padenge.Ye un logon ke kaam ka hai jo apne kisi Bussiness ko Online promote karna chahte hain yaad rahe ispar account banane ki jaroorat nahin hai

Publisher-Ye un logon ke liye hai jo apne blog ya website se paise kamana chahte hain.Publishers ka matlab hota hai ki kisi dusre ke ads ko apni website par lagana.Agar aap apne blog se paise kamana chahte ho toh aap ise chune.

Toh chaliye me aapko steps by steps bata deta hun ki bidvertiser par account kaise banate hain

1.sabse pehle aap bidvertiser.com site par jaiye

2.ab aapke saamne Bidvertiser ki site open hogi jisme aapko Join free par click karna hai

Bidvertise par account kaise banaye



3.Join Free par click karne ke baad aapke saamne ek form open hoga jisme aapko apni full detail bharni hai

edit your form

  1. Yahan aapko apna First name daalna hai matlab sirf naam cast nahin
  2. Isme aapko apni cast ya phir aap jo bhi apne naam ke aage lagate ho woh daalna hai
  3. Yahan aapko apna phone number daalna hai country code ke saath
  4. Yahan apna email address daaliye
  5. Yahan par aapko apna username daalna hai jo bidvertiser par kisi ka na ho
  6. Password me aapko ek accha password chunna hai
  7. Yahan password confirm karna hai
  8. Ab aapko yahan click karna hai
  9. Ab aapke Gmail inbox me ek code aayega jo aapko neeche diye gaye box me daalna hai
  10. Aapke saamne jitni bhi terms and conditions hain sabko maanna hai
  11. Continue par click karna hai


Continue par click karne ke baad aapko apne blog ko apne bidvertiser ke account se connect karna padhega


edit your form

  1. Isme aapko title daalna hai Jo aapke blog ka title ho
  2. Yahan aapko apne blog ka url daalna hai
  3. Language choose karna hai 
  4. Is form me aapke ye chunna hai ki blog kis topic par hai
  5. Yahan bhi aapko topic hi chunna hai
  6. ab finish par click kar dena hai
Finish par click karne ke baad aapke saamne ek page khulega jisme aapko apna phone number daalkar verify karna hoga

phone number

Blog Par Bidvertiser Ke Ads Kaise Lagaye

Blog par ads lagane ke liye aapko bidvertiser ke thoda neeche jaana padhega aur get ad code par click kare

get ad code
Ab aapke saamne ek page khulega jisko aapko ek code copy karna hai aur apne blog ke layout ki widget me add karna hai
Code add karne ke baad aap apne account ko verify kar sakte ho


ab aapke saamne jo option aayega usme thoda neeche jaakar aapko apni site verify karni hogi uske liyein aapko verify par click karna hoga

verify



Verify par click karte hi aapki site verify ho jayegi

ab sab kuch complete ho chuka hai 

agar aapko ye post pasand aaye toh ise share karein apne doston ko

aur agar kuch samajh na aaye toh comment karein 

hindimegyaan

Leave a Comment