Agar aap sonch rahe hain ki 2-3 din me blog se earning ki ja sakti hai toh aap galat ho.Blog se paise kamane ke liye aapko hard work karna padega kyunki koi bhi aisa blogger nahin hai jo 1 ya 2 month me paise kamane laga ho.wohi bloggers apne blog se paise kama rahe hain jinhone apne blog par kadi mehnat ki hai
doston aapko ye sonchna chahiye ki agar koi bhi insaan kuch kaam karta hai toh ye sonch kar karta hai ki use wohi kaam karna hai aur usme kadi mehnat karna hai toh kyun na aap bhi apni sonch ko aisa banao ki aapko agar blogging karna hai toh aap jyada se jyada time usme kharch kare tab hi aap blogging me successfull ho payenge
2.Never Stop Learning
Doston Blogging ek aisi technique hai jise jitna seekho kam hai kyunki agar aap apna career blogging me banana chahte ho toh aapko blogging ke baare me acchi knowledge hona chahiye
Agar aap sonch rahe hain ki aap bina kuch seekhe blogging me successfull ho jaoge toh aap ye sonchiye ki agar aapko blogging se related knowledge nahin hogi toh aap apne blog par logon ko kya sikhaoge toh doston plz pehle khud seekhiye baad me dusro ko sikhaiyye
Agar aap chate ho ki log lambe samay tak aapke blog par aana pasand kare toh pehle aapko blogging ke baare me acchi knowledge hona chahye.aap ye dekhiye ki agar Learning word me se ‘L’ ko delete kar diya jaye toh Earning bachega isi tarah aap apni sonch ko banao ki pehle khud seekho phir dusro ko sikhao
Ye zaroor pade–
- Email subscribe widget kaise add kare blog me s
- Blog ke domain name ko bina www ke kaise setting kare
- Post ko serch engine me fast index kaise kare
3.Accept Google Rules
Apne aap ko jyada smart samajhna hi sabse badi bewakoofi hai kyunki aap chahe kitne bhi minded ho lekin aap google se jyada samajhdaar nahin.Mera matlab ye hai ki kuch bloggers aisi sonch rakhte hain ki pehle woh apna blog banayenge uske baad jo acche blogs hain unse content ko copy karke aur usme kuch changing karke apne blog par daal lenge jisse unka blog bhi accha ho jayega ye google ko bilkul pasand nahin
Kya aapko pata hai ki aap google par jo bhi kaam karte ho google ko uska pata chalta rahta hai aur agar aap kisi dusre blog se content copy karke apne blog par daalenge toh aapka blog delete kar diya jayega aur aap blogging me kabhi success nahin ho paoge
Success pana hai toh apne dam par pao isse aapko kuch learn bhi ho jayega aur saath me aap paise bhi earn karne lagoge toh plz kisi dusre ke content copy na kare isse aapka blog paralyser kar diya jayega aur aapki mehnat bekaar ho jayegi
4.Visitors Choice
Agar aap sonchte ho ki blog banane ke baad uspar koi bhi galat salat jaankaari post karenge toh aapke blog par visitors aane lagenge toh aap galat sonchte ho aisi sonch rakhne se aapka blog ka success hona impossible hai
Internet par jitne bhi successful blogger hai unhone apne blog par hamesha wohi post kiya jo visitors ke kaam aa sake aur usme quality contents ka use kiya hai.apna blog banane se pehle aap choice kar le ki aap apne blog par kya share karke logon ki help karna chahte ho isse aapke blog par accha traffic aayega
5.Perfect Niche Selection
Maine dekha hai ki kaafi logon ka ye sawaal hota hai ki agar woh internet par apna blog banaye toh use kis topic par banaye kyunki bina topic se blog kabhi success nahin hoga.agar aap apna blog kisi topic par banaoge toh readers ko ye pata chal jayega ki is blog par kis tarah ki jaankaari di jaati hai aur aapka blog ko success hone se koi nahin rok sakta
toh doston blog banane se pehle uska topic select kar le.topic select karne se pehle ye sonch le ki aapko kis cheez ke baare me jyada knowledge hai aap jiske baare me jyada knowledge rakhte ho usi ke uper topic chune isse aapko bhi bahut help milegi
6.Investments
Agar aap sonch rahe ho ki aap paise kharch karke blog banaenge aur agar aapka blog success nahin hua toh aap paise bekaar ho jayenge lekin aap pareshaan hone ki zaroorat nahin hai kyunki google par ek aise company hai jispar aap free website bana sakte ho jiska naam hai blogger.com
toh pehle aap blogger.com par apna blog banaye uske baad jab aapko blogging ke baare me acchi knowledge ho jaaye toh apna blog wordpress par shift kar de.wordpress paid platform hai blogging ke liye lekin isme unlimited features hain aur aap ise bahut hi asaani se use kar sakte ho
Tips-Agar aap blogging me new ho toh aap blogger.com par hi blog banana chahiye kyunki ye bilkul free hai jab aapko blogging ke baare me basic jaankaari ho jaaye toh aap apna blog wordpress par transfer kar sakte ho
Ye bhi pade–
- SERPs kya hai ? Increase your SERPs performance
- 5 Best tareeke seo friendly post likhne ke liye
- Favicon kya hota hai ? Blog par favicon kaise lagate hain
Agar aapko hamari tips acchi lage toh plz share zaroor kare aur comment me bataye ki aapko ye jaankaari kaisi lagi
Aapke paas koi jankari hai toh aap mujhe comment me bataye me aapki post ko apne blog par share karoonga