Blog Ki Speed Fast Kaise Kare – 5 Ways To Increase Blog Loading Time

Agar aap chahte hain ki log aapke blog ko pasand kare aur koi bhi jankaari chahiye ho toh aapke hi blog par visit kare toh uske liye aapko apne blog ki speed par khaas dhyaan dena hoga kyunki blog ki speed jitni fast hogi log aapke blog ko utna hi pasand karenge.Sirf backlink aur design ka hi dhyaan na rakhe balki aapko apna blog aisa karna hoga jisse woh fast load ho sake.

Blog ki loading speed fast kaise karte hain


Blog ka template bhi aisa hona chahiye jo fast load hota ho aur uska design bhi accha ho.Aapne dekha hoga ki jitne bhi professional blogger hain woh apne blog par ek aisa seo friendly template use karte hain jo fast load hota ho.


Read Also – Youtube Videos Ko Offline Kaise Dekhe

Top 5 Ways To Increase Blog Loading Speed 


Blog search engine me acchi rank pa sake iske liye aapko apne blog ki speed ko increase karna padhega kyunki agar blog ki speed slow hoti hai toh Google uski post ko ignore kar deta hai.Blog ke success hone ke peeche sabse bada role blog ki speed hota hai.Kya aapko pata hai ki blog ki speed slow hone ke peeche bahut se reason hote hain jaise neeche kuch reasons diye gaye hain.


Slow speed hone ke reasons


  1. Blog Ke template ka seo friendly na hona
  2. Blog par jyada tools ka use karna
  3. Blog par jyada images ka use karna
  4. Blog ke design ko change karte rahna
Toh chaliye doston ab hum jaante hain ki blog ki speed kaise increase kare.
 
1.Remove Extra Plugins And Codes
 
Agar aap apne blog par custom template ka use kar rahe ho toh shayad ho sakta hai ki usme koi aisa plugins ho jo aapke kisi kaam ka na ho toh aap usko remove kar dijiye kyunki faaltu ke plugins se aapke blog ki speed par kaafi effect padh sakta hai aur agar aap apne blog par kuch jyada hi plugins ka use karoge tab bhi aapka blog search engine se nikaal diya jaayega aur aapke blog ke traffic par bahut bura effect padhega so please is baat ka dhyaan rakhe ki apne blog par bekaar ke plugins ya code ka istemaal na kare.
 
Apne blog par aap jitne kam tools ka prayog karoge aapke blog ki speed utni hi jyada fast hogi aur agar aapke blog ki speed fast hogi toh aapka blog search engine me acchi position par aayega jisse aapka blog success ki aur badhega.

Read Also – Mp3 Songs Download Karne Ki Top 10 Websites
 
2.Upload Minimum Images In Your Blog Post
 
Doston aapko toh maloom hi hoga ki blog post karne ke liye hume image ki jaroorat padhti hai kyunki image ke jariye hi logon ko pata chal paata hai ki post kis topic par hai par shayad aapko ye nahin pata ki blog post me jyada images ke use karne se blog ki speed par effect padhta hai isliye apni blog post me seo friendly images ka hi use kare kyunki seo friendly images ko search engine me acchi rank mil jaati hai jisse blog ki speed par bhi effect nahin padhta hai.
 
Toh doston me aapko yahi suggest karunga ki apne blog par kam se kam images ka use kare aur jin images ka use kare woh seo friendly hona chahiye warna aapka blog bekaar ho sakta hai.
 
3.Choose Best Hosting Service
 
Website ki speed kam hone ka sabse main reasong hosting hi hoti hai agar aap apne blog par free hosting ya phir dependable hosting ka use kar rahe ho toh turant usko change kar le kyunki ye hosting services bilkul bekaar hoti hai inse aapke blog ki speed kam ho jaati hai so meri raay me aap paid hosting service ka hi use kare.
 
Ab aapke mind me ek question aa raha hoga ki aakhir me kaun se company ki hosting ka use karun toh me aapko bata deta hun ki aapke liye sabse best hosting service bluehost rahegi jitne bhi professional bloggers hain woh isi service ka use karte hain aap yahan se minimum rate me hosting khareed sakte hain.
4.Don’t Use Unwanted Media
 
Kuch log aise hote hai jo apne blog par medai files ka use karte hain matlab woh apne blog par mp3 songs aur video upload karte hain aur sonchte hain ki ab unke blog par accha traffic aayega lekin unko is baat ka bilkul pata nahin hota hai ki ab unke blog ki speed bahut kam ho jaayegi jiski wajah se woh apne blog par bilkul traffic nahin la paayenge chahe woh apne blog ka seo kitna bhi accha kar len.
 
Aap kya sonch rahe hain kya sab kuch blog ke seo par hi depend hai nahin doston ek time par chahe blog ka seo kaisa bhi ho lekin kabhi koi bhi aisa kaam nahin karna chahiye jisse blog par effect pade aur unwanted media ka use karna sabse galat kaam hai.
 
5.Upload A Seo Friendly Template 
 
Doston blog ki speed ke peeche template ka bahut bada role hota hai agar aapne apne blog ke liye template choose karne me koi galti kar di toh aapko bahut pachtaana padhega kyunki template se hi blog ki speed imcrease hoti hai aapke blog ka template jitna accha aur seo friendly hoga utni hi speed fast hogi.
 
Hum jo template apne blog par upload karte hain uske baare me poori details nikaal lena chahiye ki ye tamplate mobile friendly aur seo frienfly hai ya nahin kyunki template ka seo friendly hona bahut important hai agar aapka template seo friendly nahin hua toh aapke blog ki speed bahut slow ho jaayegi aur aapka traffic bhi kam ho jaayega.
 
Toh doston ye thi kuch tips jinke jariye aapke blog ki speed fast ho sakti hai par aapko in sabhi baaton par khaas dhyaan dena hoga kyunki blog ki speed kam hone ke ye 5 main reasons hain.

Ye Bhi Pade—

Bina Number Ke Whatsapp Account Kaise Create Kare

Android Mobile Ke Liye 5 Best Camera Apps
 
Ummid hai ki aapko ye post bahut pasand aayegi agar kuch galat laga ho toh comment me bataye aur acchi lage toh share kare taaki aapke share se aur logon ki bhi help ho sake aur woh bhi apne blog ki speed par dhyaan de sake.
hindimegyaan

5 thoughts on “Blog Ki Speed Fast Kaise Kare – 5 Ways To Increase Blog Loading Time”

Leave a Comment