Blogger Blog Me Google Translate Widget Kaise Add Kare

Hinfi bloggers ki ek problem hoyi hai ki unke blog par Other languages waali country se traffic nahin aa paata hai lekin aaj me aapko ek aisi trick batane wala hun jisko aap apne blog par add karke worldwide traffic apne blog par la sakte ho.

Blogger blog me google translate widget kaise add kare



Doston me jo trick aapko batane wala hun usse aapke blog ki traffic bahut improve hogi kyunki jab bhi koi dusri language wala aapke blog par aayega toh woh is trick ke jariye aapke content ko apni language me convert karke padh sakta hai.Google Translate ek aisa naam hai jisse aap kisi bhi language ko kisi bhi language me convert kar sakte ho.

Is trick se istemaal karne se aapke 2 fayde honge pahla aapko search engine se bahut acchi rank milengi aur dusra ki aapki website par traffic bhi badhega.

Google Translator tabhi proper tareeke se work karta hai jab aapki writing language me koi mistake nahin hoti hai agar aapki writing me koi mistake hogi toh ye sahi work nahin karega isliye apni language ka dhyaan rakhe.Aap jitni acchi content ki language likhenge utna hi accha aapko result dekhne ko milega.

Doston aap bhi is trick ka istemaal kariye kyunki isse other languages waale visitors ko bhi aapka blog bahut pasand aayega aur woh bhi aapke blog par visit karte rahenge.

Google Translate Widget Kaise Lagaye 

Ab tak maine aapko bataya tha ki Blog me translate widget add karne se kya-kya fayde hote hain toh ye sab jaankar aap ye bhi jaanna chahte hoge ki Blog me Google Translate Widget kaise add kare.

1.Sabse pahle aap apne blog ke dashboard me Layout par click kariye

layout


 2.Ab jahan par aapko Google translate ki widget add karna hai wahan par Add a widget par click kariye

add a widget


3.Ab aapke saamne ek new window open hogi jisme aap Translate par click kariye

translate


4.Ab aapke saamne ek page open hoga jisme aapko Google translate widget ka style aur design choose karna hai

FORM
  • Title me aap apni Google translate widget ka name daaliye
  • Ab aap design choose kariye ki aap kis design me widget ko show karwana chahte ho
  • Preview me aapko aapka design show hoga
  • Ab aap save button par click kariye
Ab aap apne blog par jaakar dekh sakte ho ki aapke blog par Google translate widget add ho chuki hai.

Agar aapko post pasand aaye toh share jaroor kare aur hamare blog ko subscribe karna na bhoole kyunki hum ispar daily new updates daalte hain.

hindimegyaan

6 thoughts on “Blogger Blog Me Google Translate Widget Kaise Add Kare”

Leave a Comment