Ab aap sonch rahe honge ki aakhir ye hota kya hai toh me aapko sabkuch details se bataunga
Custom Robots Header Tags Kya Hai
CRHT ek feature hai jo blog post karte waqt use kiya jaata hai.Iske bahut saare features hain jo aaj me aap bataunga
Aap apne blog ki kya-kya cheez search engine me show karwana chahte ho aur kaun si cheez nahin karwana chahte.Google robots aapke post aur URLs ko search engine me fastly index karta hai
Search engine me post ko easy index karne ke liye aur post me kya-kya chupana hai iske liye google ne isko launch kiya tha
Kya Custom Robots Tags Seo Ko Improve Karte Hain
Custom robots header tags se bahut accha fayda hai kyunki isko use karne se aapka SEO improve hota hai aur aapka blog search engine me acchi rank prapt kar paata hai
Khaas toh par google ne isko isi liye launch kiya hai taaki aap apne blog ki search engine visibility increase kar sako
Internal link kaise add karte hain blogger post me
Custom Robots Header Tags Ke Features Ki Full Information
Is setting ko apne blog par karne ke liye aapko bahut hi saavdhaani rakhni hogi kyunki aapki ek choti si bhi galti aapke blog ko search engine se removed kar sakti hai
Par aapko chinta karne ki koi baat nahin me aapko sabhi tags ke baare me full detail me bataunga ki kaun sa tags use karne se kya hota hai
Uske baad aap Custom Robots Header Tags apne blog me add kar sakte ho
1.All-All tags ka use karne se Google aapke blog ko freely index kar deta hai Google jo chahta hai woh index karta hai aur jo nahin chahta woh index nahin karta.agar aap Custom Robots Header Tags ki setting nahin bhi karoge tab bhi ye ALL tag khud select rahta hai kyunki ye blog khud set kar deta hai
No Index-Agar aap apna koi page Search engine me show nahin karwana chahte ho toh aap iska use kar sakte hain.No index tags ka use karke aap robots ko apna apge index karne se rok sakte ho
No Archive-Ye ek aisa tags hai jisse agar aapki site unavailable bhi hui tab bhi koi users aapki site par jaa sakta hai matlab aapki site ka cached google server par hamesha available rahta hai isliye koi bhi cached file par click karke aapka blog par jaa sakta hai
Agar aap Google par cached show nahin karwana chahte ho toh aap iska use kare
Nosnippet-Search engine me aapki post ke title ke neeche jo description show hota hai usko Nosnippet kahte hain
agar aap description ko remove karna chahte ho to aap Nosnippet ka use kare
Noodp-Search engine me Title aur snippet ko show karne ke liye open directory project(ODP) DMOZ ka use karta hai
ODP se apni site ko search engine se remove karne ke liye aap Noodp ka use kar sakte ho
Mere suggestion me toh aapko iska use karna chahiye taaki aapki post google results me acche se show ho sake
No translate-Agar aap chahte ho ki aapki site translate na ho paye toh aap iska use kar sakte ho iska use karne se Translate ka option aapke Blog se bilkul remove kar diya jayega
No Image Index-Agar aap apni site ke image ko search engine me show nahin karwana chahte ho toh is tag ka use kar sakte ho
Unavailable_after-Ye us liye use kiya jaata hai ki agar aap apni kisi post ko search engine kuch days ya times ke liye show karwana chahte ho.isme aap date ka use kar sakte hain ki kab tak aapki post search engine me show hogi
Custom Robots Header Tags Ki Setting Kaise Karte Hain
Chaliye jaante hain ki Custom Robots Header Tags ki setting kaise karte hain
Sabse pehle aap apne blog ke dashboard>>Setting>>Search Prefrences par jaayen
Yahab par aapko kuch settings aayengi jo maine abhi aapki samjhaayi thi so aap jo chahe use kare
Sab setting karne ke baad Save changes par click kar de aapki sab settings ho jayengi
Ab aapko ek particular page me header ki settings karna hai
Particular Page Me Custom Robots Settings Kaise Kare
Abhi jo maine aapko Custom Robots Header Tags ke baare me bataya hai usko enable karne ke baad aapko post body ke side me Custom Robots Tags ka option dikhega wahan click karna hai
Ye karne ke baad aapki particular setting bhi enable ho jayegi
Conclusion
Ummid hai ki aapko ye post bahut pasand aayegi plz post ko share jaroor kare kyunki aapka ek share aur bhi logon ke kaam aa sakta hai
Read also–
Hi, very nice post
Thanks for sharing keep it up Good work
Great Post
thanks
Nice post
And helpful post
Thanks for sharing this post
thanks for comment keep visit