Blogger Me Css Code Kaise Add Karte Hain

Hello Doston Aaj me aapko css designing ke baare me batane wala hun ki Css kya hota hai aur ise blog me kaise add karte hain

blogger me css code kaise add karte hain

Css Kya Hota Hai

Css(Cascading Style Sheets) ek language hoti hai jisko page design karne ke liye use kiya jaata hai.Jab bhi hum koi page banate hain html coding me toh usko design karne ke liye Css ka use kiya jaata hai.Css Ko Jyadatar log stylel sheet kahte hain

Css ke Alava bhi kuch languages hain jo webpage banane ke liye use hoti hai jaise html,Javascript and Css etc.

Add another post link in new post
Blogger Blog Me Css Kaise Add Kare

Blogger me css ko add karne ke 3 tareeke hain.Main aapko sabhi tareeke se bataunga ki css blog me kaise add kare aur kin-kin tareekon se kare

Method 1.Customize setting me Css ko add karna

Ye method sabse easy aur good hai isme aap bahut hi asani se css code add kar sakte ho aur apne page ko design kar sakte ho.toh chaliye jaan lete hain

1.Sabse pehle aap apne blog ke Dashboard>>Template>>Customize par click kariye

template>>>customize

2.Ab aapke saamne jo page khulega usme aap adjust widts par click kijiye

add css save

  • Adjust Widhts par click kariye
  • Css code daaliye jo aapne banaya ho blog ko design karne ke liye
  • Apply to blog par click kar dijiye
To ye tha pehla tareeka jo aapko jaroor pasand aaya hoga
Method 2.Blogger ke template me Css code ko add karna
Ye tareeka thoda hard toh hai lekin ye sabse best tareeka hai css code add karne ka kyunki isse aap direct html Box me apne css code ko add kar sakte hain
1. Isme aap dashboard>>Template>>Edit Html me jaiyye

template>>edit html

2.Ab html coding me kahin bhi click karke CTRL+F ka button dabaiyye aur ]]></b:skin> search kijiye.

layout

  • CTRL+F ka button dabaiyye
  • ]]></b:skin>  Search kijiye
  • Css code ko ]]></b:skin> ke uper paste kar dijiye 
  • Save template par click kariye
Method 3.HTML/JAVASCRIPT me Css code ko add karna

ye tareeka bhi bahut hi easy hai isme aap Css Code ko widget banakar add kar sakte ho
1.Dashboard>>Layout>>Add a gadget par click kariye
2.Ab aapke saamne jo option aayega usme aapko Html/Javascript par click karna hai

javascript
3.Isme aapko Css code daalna hai

paste css code

  • Title daale
  • css code ko likhe ya paste kare
  • ab save par click kar de
toh doston ye the 3 tareeke jisse aap asani se apne blog me css code add kar sakte ho


ummid hai aapko ye post pasand aayegi plz post ko share jaroor kare taaki aapke doston ko bhi ye jaankaari prapt ho sake
hindimegyaan

Leave a Comment