Blog ke Domain Ko Bina www Ke Kaise Set kare

Hello friends aaj mein apne blog par kaafi din baad post kar raha hun jo aapke bahut kaam mein aayegi is post se aapki ek bahut badi pareshaani door ho jayegi

Log domain name khareed lete hain aur use apne blog se add bhi kar dete hain lekin uske baad agar woh apne custom domain ko bina www ke open karte hain toh unka blog nahin khul pata hai aur wo direct godaddy.com site par pahunch jaate hain.

Blog ke Domain Ko Bina www Ke Kaise Set kare

aaj mein aapko batane wala hun ki kaise aap apne blog ko bina www ke khol sakte hain

Domain ko bina www ke kaise open kare

Step1. Sabse pehle aap godaddy.com site par jaiyye

Step2. Ab aap apne account par click karke manage my domains par jaiyye

manage my domains

Step3. Manage my domains par click karne ke baad aapko apne domain name par click karna hai

hindimegyaan.com

Step4. domain par click karte hi aapke saamne jo option aayega uspar aapko DNS Zone file par click karke add record par click karna hai

dns zone file

Step5. Ab aapke saamne jo window khulegi usko aapko sahi sahi bharna hai

tips
  1. Record type mein aapko A(Host) select karna hai
  2. Host me @ daalna hai
  3. Point to mein google ka redirect ip addresses daalna hai (neeche google ke kuch redirect ip diye hue hain)
  4. Ab add another par click karna hai aur neeche diye gaye 4 ip address daalna hai 
  5. Ab finish par click karna hai

Saare ip addresess ko baari baari daalna hai matlab record type mein A (host) hi rahne dein aur host mein @ hi rahne de bas aapko points to me neeche diye gaye ip address baari baari daalna hai jaise ek ip address daalne ke baad add another par click karna hai phir doosra daalna hai aur add another par click karna hai isi tarah 4 ip address daalne ke baad aapko finish par click karna hai

  • 216.239.32.21
  • 216.239.34.21 
  • 216.239.36.21
  • 216.239.38.21

Step6. Finish par click karne ke baad save changes par click kar dijiye   step7last step ab aap apne blogger dashbaord mein jaiyye aur setting >>>basic mein jaakar blog ke address ko redirect karna hai

domain ko redirect kariye

Ab aapka blog address redirect ho chuka hai ab aap ise bina ww ke open kar sakte ho   agar aapko ye post acchi lage toh comment karke bataye aur social sites par share kare

Also read >>>

hindimegyaan

Leave a Comment