Gmail Account Kaise Banate Hain In Hindi

Hello friends aaj me aap logon ko ye batane wala hun ki Gmail account kaise banate hain aajkal har internet user ka gmail account hai kyunki internet par sabhi kaam ab gmail account se hote hain agar aapka gmail account nahin hua toh aap bahut se kaam nahin kar sakte jaise Online shoping,Account create,adsense account nahin bana sakte,aur bhi bahut se aise kaam hain jo bina gmail account ke nahin hote hain isliye agar aapka gmail account nahin hai toh aap is article ko poora padhe isme aapko ye seekhne ko milega ki gmail account kaise banate hain aur ye kis kaam me aata hai.

gmail id kaise banate hain


Gmail account jisko email id kaha jaata hai.Email id banane ke bahut se platform hain par sabse jyada use sirf gmail.com ko kiya jaata hai kyunki ye website sabse best hai aur ispar bahut hi easily email id create kar sakte hain.

Gmail Id Kis Kaam Me Aati Hai


Gmail account create karne se pahle aap ye jaan lijiye ki gmail id kis kaam me aati hai aur iske kya-kya fayde hain.Doston agar aapko kisi bhi site par account banane ki jaroorat padhti hai toh uske liye gmail id ka use kiya jaata hai aur iske jariye agar aap kisi ko kuch send karna chahte hain toh aap email ke jariye kar sakte hain.Ye website jyadatar email bhejne ke kaam me aati hai bahut se log isi ke jariye apne work ko promote karte hain.


Gmail id se bahut fayda hota hai agar aap kisi bhi news ko apne inbox me automatically laana chahte ho toh aap us news channel ko subscribe kar sakte ho jiski news ko aap apne inbox me laana chahte ho aur bhi bahut se fayde hain gmail id se.


Read Also – Blogging Karne Ke 5 Best Topics

Gmail Account Kaise Create Kare


Toh chaliye doston gmail account banana seekhte hain—

1.Sabse pahle aap apne browser me Gmail.com daalkar search kariye.

2.Ab aapke saamne gmail banane ki site open ho jaayegi jisme aap Create Account par click kariye

create account


3.Ab aapke saamne gmail id banane ki detail daalne ka form open hoga jisme aap apni full details daaliye.

account details

  1. pahle aap apna naam daaliye
  2. Username daaliye jisse aapki gmail id banegi
  3. password daaliye
  4. Password confirm kariye
  5. Birthday ki date daaliye
  6. Gender select kariye
  7. Mobile number daaliye
  8. Agar aapka pahle se bhi koi gmail account hai toh aap yahan daaliye ya phir isko khaali rahne de
  9. apni country select kariye
  10. Ab next step par click kariye


4.Ab aapko privacy and terms ko agree karna hai.

privacy and terms


5.Ab aapka account bankar ready ho chuka hai aap continue to gmail par click karke apne account ko check kar sakte ho.

continue to gmail


Continue to gmail par click karte hi aapka account open ho jaayega matlab aapka account bilkul successfully create ho jaayega.

Ummid karta hun ki aapko ye post bahut pasand aayegi kyunki isme maine bataya hai ki gmail account kaise banate hain aur gmail account se kya fayde hain.

Read This Articles—

Blog Template Ko Zip Se Xml Me Kaise Badle

Gmail Id Me Phone Number Kaise Change Karte Hain

Agar aapko kuch samajh me na aaye toh plz comment kare aur post ko jyada se jyada share kare.

hindimegyaan

Leave a Comment