Hello doston ab tak maine aapko sirf yahi bataya tha ki account kaise banate hain lekin aaj me aap logon ko ye batane wala hun ki Google account ko delete kaise karte hain.
Isse pahle maine ek post aur publish ki thi jisme maine ye bataya tha ki Gmail account kaise banate hain par aaj me iska ulta batane ja raha hun matlab aaj me aap Gmail account delete karne ke baare me batane wala hun.
Google Account Ko Delete Kyun Kare
Gmail account ko delete karne ke bahut se reason hain jinme se ek ye hai ki agar aap aapne ek new gmail account banaya hai aur aap apne old gmail account ko isliye delete karna chahte ho taaki aap us id se bane hue sabhi account band ho jaaye jaise Blogger.Wordpress,Youtube,Facebook and twitter etc.
Read Also – Blogger Blog Me Facebook Like Box Kaise Lagaye
Gmail Account Ko Delete Kaise Kare
Toh chaliye doston jaante hain ki gmail account ko delete kaise karte hain.
1.Sabse pahle aap accounts.google.com me jaakar apni us gmail id se login kariye jisko aap delete karna chahte ho.
2.Login karne ke baad aap Sign-in & Security par click kariye.
3.Ab aapke saamne ek new page open hoga jisme aap delete your account or services par click kariye.