Google Ke 15 Official Blog-Useful And Helpful Blogs

Google ek aisa search engine hai jo world me sabse popular aur number 1 hai.Kya aapko pata hai ki jaise aapka blog hai usi tarah google ne bhi apne bahut saare blogs banaye hue hain.Is post par me aapko saare blogs ke baare me bataunga ki kaun sa blog kis kaam ka hai.Main jo Google ke blogs aapko bataunga unse aapko bahut saari new information milengi jinko padhkar aap bahut kuch seekh jaoge aur apne blog par bhi new post kar sakoge

google ke 15 official blogs

Internet par bahut saare logon ne apne-apne blogs bana rakhe hain jinpar sab alag alag tareeke ki information share karte hain isliye aapko jo bhi jankaari chahiye aap usko google ke blogs par padhiye kyunki yahan aapko bilkul right jankaari milegi.Plz is post ko poora pade kyunki ye aapke bahut kaam ki hai

Google ke blogs par bahut hi acchi,latest,fresh,Unique content share karta hai jo hamare jaise bloggers ke bahut kaam me aati hain.Agar aapko hamesha internet par up to date rahna hai toh in sabhi blogs ki jankaari jaroor pade

Google Ke Blogs Par Kis Type Ki Jankaari Share Ki Jaati Hain
,
Google official blog par bahut tarah ki jankaari hoti hai jaise Google Adsense,Analytics,Adwords,Latest News,Social Media,AJAX search API,Affiliate Network,Blogger Guidelines,Google Maps,aur bhi bahut saari Information milegi

Google Ke Official Blogs Ki List Jinpar sahi aur New Jankaari Milengi

Google ke jo blogs hain unki sirf ek hi problem hai ki saare blogs English me hain aur india me bahut kam log english jaante hain phir bhi jinse thodi bahut bhi aati hai woh bhi inko asani se samajh sakte hain

Official Blogs Ki List

  1. Google Blog-Ye blog technology,products aur google culture ke baare me information share karta hai
  2. Adsense Blog-Adsense optimizing tips new adsense publisher ke liye aur adsense ke new features aapko is blog par milenge
  3. News Blog-Google ka ye blog sabse important blog maana jaata hai kyunki ispar sabhi tarah ki latest news padhne ko milti hain
  4. Analytics Blog-Is blog par aapko analytics ke baare me sabhi latest news,updates,features,tips aur bhi bahut saari jankaari milengi.
  5. Android Blog-Agar aapka blog android mobile ke baare me hai toh aapko is blog se bahut help milegi kyunki ispar Android developer banne ki tips batai jaati hain
  6. Reader Blog-Ye blog google team Ke dwara manage kiya jaata hai ispar news.updates aur tips and tricks share ki jaati hain
  7. Gmail Blog-Gmail ke baare me jo bhi tips & tricks aur updates ki jankaari hoti hai woh aapko is blog par mil jaayengi
  8. Adwords Retail Tips-Is blog par aapko retailers user ke liye adwords retail tips mil jaayengi
  9. AJAX search API blog-Is blog par AJAX aur API ke baare me sab jankaari padhne ki milengi
  10. Security Blog-Hum internet par jo bhi work karte hain uski security hona bahut jaroori hai isliye aap is blog par di gayi saari security tips ko pade
  11. Code blog Update-Google code se related saari jankaari aapko is blog par milengi.coding me jo updates hote hain uski saari jankaari yahan milegi
  12. Custom Search Blog-Custom search engine jo blog ke liye bahut jaroori hai,Is blog par custom search engine ke baare me latest news aur updates milenge
  13. Youtube Blog-Youtube jo bhi new updates deta hai uske baare me saari jankaari is blog par milti hai.
  14. Picasa Blog-Picasa jo ek software hai uske baare me is blog par sab jankaari milti hai.Is blog par visit karke aap picasa ke baare me sab kuch seekh sakte hain
  15. Video Blog-Ye blog wo log manage karte hain jinko Video program ke baare me jyada knowledge hoti hai.Wo log ispar content aur video dono type ki jankaari share karte hain
Toh ye the kuch hi blog jo maine aapko bataye.Aap in blogs par sabhi tarah ki knowledge le sakte hain.Inke alawa bhi bahut saare blogs hain jinpar jankaari share ki jaati hain wo bhi main aapko apni agli post me bataunga

Read Also–

Social Media Sites se jyada traffic kaise paaye

4 Big reasons jinki wajah se google adsense cpc kam hoti hai

Ummid hai ki aapko meri ye jankaari pasand aayegi isko social sites par share jaroor kare aur hamare blog ko subscribe karna na bhoole
hindimegyaan

4 thoughts on “Google Ke 15 Official Blog-Useful And Helpful Blogs”

  1. सर प्लीज क्या आप अपना व्हाट्सएप्प नंबर दे सकतें है?प्लीज सर

    Reply

Leave a Comment