Jab bhi hamara computer ya laptop hang hota hai uski sabse badi wajah hoti hai hamare laptop ki ram kam hona kyunki hum jo bhi software install karte hain woh hamare laptop ki ram me install hote hain isliye hamare laptop ki ram jyada hona chahiye aur agar laptop ki ram kam ho toh aap is post ko poora padhiye me isme batane wala hun ki apne laptop ki ram kaise badhaye hard disk ke jariye.
What Is Ram ?
Ram(Random Access Memory) Jaise ki me aapko bata chuka hun ki Ram ek type ki memory hoti hai.Jab hum koi bhi software Install karte hain toh jo space woh leta hai use hi Ram kahte hain.Log sonchte hain ki unhe apne laptop ki Ram badhane ke laptop me new ram fit karwana padegi lekin aaj me aapko aisi trick batane wala hun jisse aap apne computer ki hard disk se bhi Ram bana sakte ho
Hard Disk Se Ram Kaise Banate Hain
Hard disk se Ram banane ke liye aapko kuch steps follow karna padegi toh chaliye jaante hain ki kaise banaye Ram–
Step 1.
Sabse pehle aap apne laptop ki screen par Computer ya My Computer par left click karke Properties option me jaiyye
Sabse pehle aap apne laptop ki screen par Computer ya My Computer par left click karke Properties option me jaiyye
Step 2.
Ab aapke saamne ek window open hogi jisme aap Advanced system settings par click kariye
Ab aapke saamne ek window open hogi jisme aap Advanced system settings par click kariye
Step 3.
Ab aapke saamne jo option aayega usme aap Advanced me Settings par click kariye
Ab aapke saamne jo option aayega usme aap Advanced me Settings par click kariye
Step 4.
Ab aapke saamne ek option aayega jahan par aapko Advanced me Jaakar Change par click karna hai
Ab aapke saamne ek option aayega jahan par aapko Advanced me Jaakar Change par click karna hai
Step 5.
Ab aapke saamne jo option aayega usme aapko sab select karna hai ki aap kitne GB Ram banana chahte ho
Ab aapke saamne jo option aayega usme aapko sab select karna hai ki aap kitne GB Ram banana chahte ho
- Yahan par jo automatically ka sign hai hai usko hatana hai
- Ab aapko hard disk choose karna hai jisme se aap Ram banana chahte ho
- Custom size par tick karna hai
- Ab aapko Size daalna hai ki aap kitni GB Ram banana chahte ho(Size aapko MB me daalna hai,1024 MB ki 1 GB hoti hai)
- Ab aap System managed size ko select kariye
- Ab Set par click kariye
- Ab last me aapko ok par click karna hai
Itna sab kuch karne ke baad aapke laptop me Custom size ki ram create ho jayegi aur aapka laptop kabhi hang nehin hoga
Ummid hai ki aapko ye post bahut pasand aayegi post ko jyada se jyada share kare aur comment kare ki aapki post kaisi lagi