Privacy Policy Page Kaise Banate Hain Blog Ke Liye

Privacy Policy ek disclosure(prakatikaran) information hoti hai jisme blog ke baare me bataya jaata hai ki blog par kaun si company ke ads ka use karte ho aur bhi bahut kuch.

how to create privacy policy page

Google adsense sahit aur bhi aisi advertisement sites hain jo aapke account ko approved karne ke liye privacy policy ko padhti hai tab hi aapka adsense account approved hota hai

Isliye Privacy Policy page blog par add karna bahut important hai

Aaj me aapko yahi batane wala hun ki privay policy page kaise banate hain aur use blog par kaise lagate hain

Ye bhi jane-

Create A Privacy Policy Page

Bahut saare bloggers hain jinko pata nahin ki privacy policy page kaise banate hain aur kuch bloggers hain jinhone apna khud ka privacy policy page bana rakha hai.Aaj me aapko bahut hi easy steps batane wala hun jinko follow karke aap asani se privacy policy page bana sakte ho

Chaliye hum Serprank.com ka use karte hain privacy policy banane ke liye

Step 1.
 Sabse Pehle aap Serprank.com par jaakar sign up(sccount banaiye) kariye
Step 2.
Account banane ke baad  privacy policy generator par click kariye

Step 3.
Ab aapke saamne ek form aayega jisme aapko sahi-sahi fill karna hai
form of serprank account
  1. Apne Blog ka url daaliye
  2. Apna email address daaliye
  3. Agar aap cookies ka use karte ho toh yes,we use cookies par click kariye
  4. Google adsense par click kariye
  5. Last aap Creat my privacy policy par click kariye
Ab aapka Privacy policy page bankar ready ho jayega usko copy kar lijiye
Add Privacy Policy Page In Your Blog

Page create karne ke baad use blog par lagane ke liye ye steps follow kare-

1.Go to your blogger dashboard>>Pages>>New Page

pages>>new page

Step 2.

Ab aapke saamne jo page box khulega usme Privacy Policy Paste karna hai jo aapne banaya tha aur copy kiya tha

post body

Ab aapke blog me privacy policy add ho chuki hai

Agar post acchi lage toh plz share jaroor kare aur agar kuch samajh me na aaye toh comment karke pooche.

hindimegyaan

8 thoughts on “Privacy Policy Page Kaise Banate Hain Blog Ke Liye”

Leave a Comment