Aaj me aapko isi topic ke baare me batane wala hun jisse aap asani se cookies enable ya disable karna seekh jaoge aur aapko cookies ke baare me acchi knowledge ho jayegi isliye is post ko poora read kare
Cookies Kya Hoti Hain
Cookies ek tarah ki file hoti hai jisko enable ya disable karne se websites ko open karna easy hota hai aur ise enable karne se websites par daale gaye ads bhi show hone lagte hain.Cookies bahut hi kaam ki cheej hai kyunki ye hamare browser ki problems ko block kar deta hain isse hume internet speed bhi acchi aati hai.
Read This Article–
Google chrome offline installer setup
Cookies Ke Saath Problem Ko Kaise Fix Karte Hain
Agar aapne apne browser me cookies enabled kar di hai lekin aapke browser me eroor message aa raha hai toh apne browser me new tab ko open kariye aur jo other tabs hon unhe close kar dijiye aapko problem solve ho jayegi
Cookies Enabled Kaise Kare
Me jo method aapko batane ja raha hun ye sirf Google Chrome Ke Liye hain.toh cahliye jaante hain ki cookies ko enabled kaise karte hain.
1.Sabse pehle aap apne brower ke Right side me uper jo more ka button hai uspar click kare aur Setting par click kariye
2.Ab aapke saamne jo page khulega usme aapko thoda neeche jaana hai aur Show Advanced Settings par click karna hai
3.Show advanced setting par click karte hi aapki settings show hone lagegi jisme aapko content settings par click karna hai
4.ab aapke saamne content setting ka ek box open hoga jisme aapko Allow local data to be saved(recommended) choose karna hai aur done par click karna hai
Done par click karte hi aapke browser me cookies kaam karne lagengi aur aapko koi pareshani nahin hogi
Cookies Disabled Kaise Kare
Cookies ko disabled bhi isi tarah karte hain sirt last me aapko kuch change karna padhta hai chaliye me aapko bata deta hun
Jaise humne cookies ko turn on kiya tha usi tarah cookies ko disabled karne ke liye aapko Block sites from setting any data choose karke done kar dena hai
Useful tips–
Laptop or Computer Ko Secure Kaise Kare
Seo Friendly Blog Post Likhne Ke Tareeke
Toh doston ab aap samajh gaye honge ki cookies kya hoti hai aur inko kaise use karte hain aur kaise inko enabled ya disabled karte hain
I want to Say that I read Your Post and I must say it’s really nice Post & it’s really helpful for us