Bahut Saare Bloggers Ko ek problem hoti hai ki unki post search engine me jaldi se index nahin hoti hai aur kuch bloggers aise hote hain jinke blog ki kuch post search engine me show hoti hai kuch nahin hoti hai.kya aapko pata hai ki ye pareshaani unhin bloggers ko uthana padhti hai jinka blog new hota hai.aaj me aapko bahut acche tareeke batane wala hun jinse aapke blog ki post 2 minute me search engine me show hone lagegi
Kuch Blogger aise hote hain jinki problem ye hoti hai ki unke blog ki post 3 ya 4 din me search engine me show hoti hai aaj is post ko padhkar aapko ye seekhne ko milega ki kaise 2 minute me post ko search me laye
Read Also– SMS Se Apne SBI Account Par Aadhar Card Kaise Link Kare
Blog Post Ko Search Me Jaldi Kaise Show Kare
Blog post ko search me jaldi laane ke liye me aapko 2 Method me bataunga jinhe follow karke aap turant apni post ko search me la sakte hain.
Method 1—
Post ko search me jaldi laane ke liye aapke blog ka seo accha hona chahiye agar aapke blog ka seo accha nahin hai toh aap ye post padho – On page seo kaise karte hai
Agar aapke blog ka seo accha hai toh me aapko kuch aise point bata deta hun jinse aapki post search me jaldi aayegi
- Seo friendly post share kare
- Post me Kam Se Kam 300 words ko likhe isse kam na hon
- Post par popular keywords ka use kare
- Agar post me image use kar rahe hain toh use seo friendly bana le
- daily post ko share kare
- sirf new post hi share kare
- Post ke saare words post ke tilte se related likhe
- Post me label use kare jisse logon ko pata chale ki aapki post kiske uper hai
- Blog me seo friendly aur fast loading template hi upload kare
- Post ko sirf audiance ke liye hi likho
In 10 points ko follow karke agar aap apne blog par post karenge toh aapki post seo friendly ho jayegi aur search me jaldi show hone lagegi
Method 2—
Ye method bahut hi easy hai aksar aisa hota hai ki hum post toh kar dete hain lekin woh search me show nahin hoti hai is method ke zariye aap jald hi apni post ko search engine me le aayege
Agar aap sonch rahe hain ki ye kaun sa formula hai toh me aapko bata dun ki is formule ka naam hai fetch as google is formule se aap direct apni post ka url link daalkar Google search console par fetch as google kar sakte ho
Post Ko Fetch As Google kaise kare
fetch as google karne ke liye sabse pehle aapko goole search console par account banana padega agar aap jaanna chahte ho ki google search console par account kaise banaye toh yahan click kare
Account banane ke baad in steps ko follow kare—
1.Sabse pehle aapko google search console me login karna padega uske baad aapne jo site verify ki thi account banate waqt uspar click kare
2.Ab aap search console ke dashboard me pahunch jayenge jisme aapko crawl>>>fetch as google par click karna hoga
- Pehle crawl par click kare
- Ab aap fetch as google par jaaye
- Apni post ka url daale
- Ab fetch par click kare
Note:Url daalne ke baad usme aapke blog ka jo domain name hai usko remove kar dena hai sirf post ka permalink hi rakhna hai
Example-2016/12/Blog-post-ko-search-engine-me.html
3.Fetch par click karne ke baad aapko Request Indexing par click karna padega
4.Jaise hi aap submit to yandex par click karenge aapke saamne ek verify karne ka option khulega
- I am not a robot par click kariye aur agar koi question ho toh use hal kariye
- crawl only this url par click kare
- Go par click kare
Ab aap 5 ya 6 minute baad check kar sakte ho ki aapki blog post search engine me show hone lagi hai
thanks for read this post
Ye Bhi Pade—
- 5 Great tareeke seo frendly post likhne ke liye
- Blogger par free blog kaise banate hain step by step guide
- top 5 seo friendy templates for blogger
- Mobile Number Kis Naam Se Hai Kaise Pata Kare & Trace Location
Doston aasha karta hoon ki ye post aapko bahut pasand aayi hogi plz post ko share zaroor kare aur agar koi sawaal ho toh comment me pooch sakte ho
This post is very nice as well as very informative. I have known very important things over here. I want to thank you for this informative read. I really appreciate sharing this great. If you want essay related topic you can take online essay writing service help through essay writing help before the exam.
hi sab post ko karna padega kya
yes bro
Very helpful bhai thanx