Kisi Ke Bhi Whatsapp Account Se Khud Ko Unblock Kaise Kare

Hello friends aajki is post me aapka most welcome.Aaj me aapko bahut hi interersting trick ke baare me batane wala hun jisse aap kisi ke bhi whatsapp account se apne aap ko unblock kar sakte ho.Ji haan doston ye possible hai agar aapke kisi friend ya girlfriend ne aapko whatsapp par block kar diya hai aur aap khud unblocked hona chahte ho toh aajka ye article padhiye kyunki aaj me bahut hi accha trick share karne wala hun jisse aap bahut hi easily unblock ho sakte ho.

Kisi ke bhi whatsapp account se khud ko unblock kaise kare

Aksar hamare saath aisa hota hai ki hum apne kisi friend ya girlfriend se baat karte hain jisme kuch baate aisi kah dete hain jo unhe buri lag jaati hain jiski wajah se woh hume blocked kar dete hain aur hamari baat adhoori rah jaati hai is condition me agar aap chahte ho ki aap khud uske whatsapp account se unblocked ho jao toh aap sahi article par ho.Aaj aap bahut hi simple sa trick follow karke kisi ke bhi whatsapp account se unblocked ho sakte ho.

Friend Ne Block Kar Diya Kaise Pahchane

Doston sabse pahle aapko ye pata lagana hoga ki kya sach me aapke friend ne aapko block kar diya toh chaliye jaante hain ki kin condition me pata lagta hai ki mujhe blocked kar diya.

  • Agar aapke friend ki profile pic,Last seen,Status show nahin ho raha hai toh samajh lijiye ki aapko blocked kar diya
  • Agar aapne apne friend ko message send kiya lekin sirf tick show ho raha hai double tick nahin aa raha hai iska matlab aapke friend ne aapko block kar diya(yaad rahe kabhi-kabhi aisa bhi hota hai ki whatsapp kam use karne se double tick der se show hota hai)

Toh chaliye doston ab hum main topic par aate hai ki apne aap ki kisi bhi dusre whatsapp account se unblocked kaise kare.

Follow These 3 Steps And Unblock Your Whatsapp Number

Doston ye bahut hi easy hai chaliye start karte hain-

Step 1.Doston unblock hone ke liye aapko apna whatsapp account delete karna hoga.Whatsapp account delete karne ke liye sabse pahle aap settings >> Account >> Delete my account par click kariye aur phir aapse aapka phone number maanga jaayega wahan apna number daalkar delete my account par click kar dijiye.

Step 2.Is process ke baad aap apne phone se whatsapp ke cache clear karke usko uninstall kar dijiye aur apne mobile phone ko restart kar dijiye.

Step 2.Restart hone ke baad playstore me jaakar new whatsapp install kariye aur phir usi number se account banaiyye.

Note – Yaad rahe jab aap new account banaoge us process me aapke saamne backup ka option aayega usko skip kar de warna aap blocked hi rahenge.

Toh doston ab aap apne friend se dowara se contact karke samjha sakte hain ki aap galat nahin hain aur unke dimaag se aapke liye saare gusse ko khatam kar sakte hain.

Ummid hai aapko ye article jaroor pasand aayega agar pasand aaye toh plz isko share kare aur comment karke bataye ki aapko ye article kaisa laga.

hindimegyaan

Leave a Comment