Mobile Number Ka Naam, Address Aur Location Ka Pata Kaise Kare

Hello guys aapka phone me daily 2 ya 3 calls aise jaroor aate honge jis number ko aap nahin jaante honge ki ye kiska hai iska owner kaun hai aur ye call isne kyun ki hai aksar hamare phone par aise calls, missed calls aur messages aate rahte hain jo hume problem dete hain kyunki woh ek unknown number se hote hain.

mobile number ka naam aur location kaise pata kare

Kuch years pahle hamare phone par kisi bhi unknown number se call aati thi toh hum us number ki details nahin nikaal paate the lekin jaise-jaise technology badhti ja rahi hai ab ye bhi possible ho gaya hai ab aap apne phone se ghar baithe pata laga sakte hain ki aapke paas jo unknown number se call aayi hai woh kiski hai uska owner kaun hai aur ye number kahan ka hai so doston aajka bahut bahut helpful hone wala hai plz isko poora padhe taaki aapko ye jankaari sahi se hasil ho sake.

Kisi bhi number ka name , address , aur location pata karne ke liye ab internet par bahut se tools uplabdh hain jinme se kuch premium hain aur kuch bilkul free aaj me aapko 2 tareeke batane wala hun mobile number ki details nikaalne ke jo dono bilkul free hain.

Ye problem girls ke saath jyada hoti hain isliye ab girls ko bhi jyada problem me fansne ki jaroorat nahin hai kyunki aaj me aapke liye ek aisi trick lekar aaya hun jo aapko is pareshani se door kar sakti hai aajkal log apne maze ke liye bhi dusre ko call karke pareshan kar rahe hain aaiyye jaante hain ki kaise un logon ka naam aur address pata kare.

Maine upar aapse kaha tha ki aaj me aap logon ko 2 aise method batane wala hun jinke jariye aap kisi bhi mobile number ka naam , location , aur address pata kar sakte ho aaiyye jaante hain ki woh 2 tareeke kaun se hain.

  1. Android App
  2. Website

Aaiyye ab hum aapko details me batate hain ki in dono tareekon se mobile number ki details kaise nikaalte hain jo dono method bilkul free hain.

Read Also – Hindi Me Gyaan Blog kyun aur kisne banaya

Android Phone Me Kisi Bhi Mobile Number Ki Details Kaise Nikaale

Android phone me ek app install karke aap bahut hi easily kisi bhi mobile number ki jankari prapt kar sakte hain aiye jaante hain kaise prapt kare-

Step 1. Sabse pahle aap apne android phone ke playstore me jaakar Truecaller naam ka app install kare ya phir neeche diye gaye button par click karke bhi download kar sakte hain

[junkie-button url=”https://play.google.com/store/apps/details?id=com.truecaller&hl=en_IN” style=”green” size=”small” type=”round” target=”_self”] Download Kare [/junkie-button]

Step 2. Truecaller install karne ke baad usko open kare aur apne number se register kare.

Step 3. Register karne ke baad aapke paas ek otp aayega verify ke liye uske aane ka wait kare usme time bhi lag jaata hai jaise hi otp aa jaayega aapka number khud verify ho jaayega.

Step 4. Ab aapko apna naam aur email address daalna hoga

Step 5. Itna sab karne ke baad ab bas aapko next next karna hoga phir aap successfull trauecaller me pahunch jaoge.

Step 6. Ab aapke paas kisi bhi unknown number se call aayegi toh aapke mobile ki screen par us number ke owner ka naam aur address dono show karega jisse aap usko track bhi kar sakte ho.

Aaiye ab hum aapko batate hain ki website ke jariye kisi bhi mobile number ki jankari kaise prapt kare.

Read Also – 5 Best Money Transfer Apps For Android Mobile

Website Par Mobile Number Ki Jankari Kaise Prapt Kare

Step 1 . Sabse pahle aap apne browser me jaakar truecaller.com website par jaiye.

Step 2 . Website par jaakar aap jis number ki jankaari lena chahte hain woh number daale aur search ke button par click kare.

mobile number details

Step 3 . Ab aapke saamne 2 signup ke option aayenge kisi bhi cheej se sign up kare.

sign up

Step 4 . Jaise hi sign up karenge aapke saamne us number ki sabhi details aa jaayegi jaise ki aap neeche diye gaye image me dekh sakte hain.

details

Toh dekha aapne kis tarah aap kisi bhi unknown number ka naam aur address easily pata kar sakte ho agar aapko kuch samajh na aaye  toh comment kare hum jald hi aapki problem ka solution aapko batayenge.

Read Also – 6 Best Free Computer Software

Toh doston ummid karta hun aapko ye post bahut pasand aayegi plz is post ko share jaroor kare aur comment me bataye ki aapko ye post kaisi lagi.

If You Enjoy This Post Plz Share

hindimegyaan

2 thoughts on “Mobile Number Ka Naam, Address Aur Location Ka Pata Kaise Kare”

Leave a Comment