Online Teach Karne Ke Best Platform – Make Money Online

Howdy Guys ! Aaj me aap logon ke liye ek aisa article lekar aaya hun jiske jariye aap kisi ko bhi online teach kar sakte hain me aapko 3 aise tareeke bataunga jiske jariye aap online teach kar sakte hain.Iske saath saath me aapko ye bhi jaanne ko milega ki online teach karne ke kya fayde hain.

Online teaching ke best platform

Doston jaisa ki aap jaante hain ki aajkal Internet ka jamana chal raha hai bahut kam log aise hain jinhe internet ki thodi bhi knowledge nahin kyunki ab har kaam online ho raha hai isliye jisko internet use karna nahin aata hai use apna koi bhi kaam karne me bahut problem hoti hai.

Aapne dekha hoga ki schools aur colleges me computer lage hote hain kya aapko pata hai ki kyun doston jab koi new student admission leta hai tab usko shuruat se hi computer chalana jyada sikhaya jaata hai taaki woh usko sahi se samajh sake aur internet ke baare me bhi jaan sake.Kuch log jo kabhi school me nahin pade hote hai woh kisi computer institute wale ke paas course karte hain lekin is time kuch hi log aise hain jinhe computer chalana nahin aata aur woh internet ke baare me kuch nahin jaante.

Kuch colleges toh aise bhi hain jahan par koi begs nahin lekar jaata hai balki college waale student ko ek tab dete hain aur usi par usko home work mail karke teach karte hain.

Toh doston dekha aapne ki pahle kaisa jamana tha lekin jaise-jaise din badhte gaye jamana itna changes ho gaya ki ab toh easy se easy kaam online ho raha hai.

Teach Karne Ke Fayde

Online teach karne ke bahut se fayde hain chaliye me aapko details me bata deta hun-

  • Pahle log school ya colleges me teach karke paise kamate the lekin ab aap apne ghar par baithkar tution padhakar bahut acchi income earn kar sakte hain.
  • Agar aapko internet ke baare me acchi knowledge hai toh aap online logon ko apni knowledge share karke bhi acche paise kama sakte hain.
  • Online teach karne se aapko income bhi hogi aur aap famous bhi honge.
  • Online teach karne se aapki khud ki memory strong hogi aur aapko khud bhi kabhi kuch nahin bhoolenge.
  • Online teach karne ke itne platform hain ki aap sonch bhi nahin sakte isliye aap bahut hi easily acche paise kama paoge.

Toh doston ye the online teach karne ke fayde ab me aapko bataunga ki aakhir woh kaun se platform hain jinse hum online teach kar sakte hain.

Read Also – Mobile Number Ki Location Track Karne Ki 10 Best Sites

Online Teach Karne Ke Best Platforms

Waise toh online teach karne ke bahut se platform hai lekin aaj me aapko 3 aise tareeke bataunga jo sabse best hain aur aap inse bahut hi easy teach kar paoge.

1.Blogging

Blogging ek aisa platform hai jisse lakhon log bahut acchi income kar rahe hain har koi apni knowledge ko share karke acche paise kama raha hai.Agar aap online teach karna chahte hain toh aapke liye sabse best platform blogging hi rahega kyunki ispar aap apne kisi bhi subject ke notes likhkar logon ko samjha sakte hain ya phir unko scan karke bhi upload kar sakte hain.

Jaise-Jaise aap apne blog par notes share karte jayenge aapke blog par traffic badhta jaayega aur aapko bahut acchi income hone legegi.

Doston agar aapko Blogging platform teach karne ke liye pasand hai toh chaliye pahle aap apna ek blog bana lijiye.

Blog banane ke baad aapko uspar apne notes share kariye aur dekhiye bahut jald aap itne paise kamane lagoge jitne aapne abhi tak kisi bhi job se nahin kamaye honge.

Read Also – Top 10 Hindi Bloggers

2.Youtube

Youtube ke baare me toh aap jaante hi honge ki Youtube par log videos banakar upload karte hain aur jab un videos ko koi dekhta hai toh videos upload karne waale ko bahut acchi income hoti hai.Isi tarah aap bhi apna ek youtube channel banakar uspar teaching se related videos upload karke acche paise kama sakte ho.

Doston agar aapko videos banakar online teach karna chahte hain toh aapko video editing ki knowledge honi chahiye kyunki isme aapko video edit karne ki jaroorat padhegi ya phir agar aap camera se video shoot karenge toh aap direct usko upload kar sakte hain kyunki usme aapko whiteboard par sab asani se samjha kar apni video bana sakte ho.

Read Also – Jio Phone Booking Kaise Kare

3.Android Apps

Play store par aapne dekha hoga ki log study se related apps banakar upload kar dete hain phir unko uske downloads ke hisaab se paise milte hain isi tarah aap bhi apna khud ka app banakar uspar teaching karke acche paise kama sakte ho.

Android apps aap khud bhi bana sakte ho nahin toh aap online freelancer par kisi se bhi create karwa sakte ho.

Toh doston kaisa laga aapko ye article comment me bataye aur share kare taaki aur log bhi is baare me jaan sake.

Ummid hai aapko ye article bahut pasand aayega plz isko share jaroor kare aur ho sake toh hamare blog ko subscribe kare.

hindimegyaan

6 thoughts on “Online Teach Karne Ke Best Platform – Make Money Online”

  1. Nice post! I like this post very much. I very interesting to this post it gives happiness, information, and more different experience to me thank you for this post. The best online essay writing services are well-constructed, grammatically correct and unique essay for students.

    Reply
  2. This information is impressive; I am inspired with your post writing style & how continuously you describe this topic. After reading your post, thanks for taking the time to discuss this, I feel happy about it and I love learning more about this topic

    Hadoop training institutes in chennai | Big data Hadoop Certification in chennai | Hadoop Training in Velachery | Hadoop Training in OMR | Hadoop Training with Placements

    Reply

Leave a Comment