Phone ko pc se control karne ki jaroorat tab padhti hai jab hamare laptop ka mouse ya keyword bekaar ho jaata hai aur hume pc ko chalane me dikkat hoti hai is problem ko solve karne ke liye ab aap apne pc ko phone se control kar sakte ho.
Computer Aur Mouse Ko Control Karna Kaise Possible Hai
Agar aap is method ka use karna chahte ho toh aapko ek kaam karna hoga ki aapke paas jo phone hai usme Unified remote naam ka ek apps download karna hoga aur pc me bhi is apps ko install karna padhega uske baad apne phone ko connect karne ke liye aap wifi ya bluetooth ka use kar sakte ho.jaise hi aapka laptop aapke phone se connect hoga aapke phone me saare controlling option aa jayenge jisse aap apne laptop ko full control kar sakte hain.
Unified Remote Ka Use Kyun Kiya Jaata Hai
- Maan lijiye ki aap apne phone me koi movie ya song dekh rahe ho aur aap laptop kaafi door rakha hai toh usko manage karne ke liye unified remote ka use kiya jaata hai.
- Unified Remote me aapko file manager ka option bhi milega jisse aap direct apne pc ki sabhi files ko manage kar sakte ho.
- Pc ki screen ko apne phone par mirror bhi kar sakte ho.
- Is remote me mouse aur keywords ke 2 features aur milte hain jisse aap apne laptop ko door bethkar apne control me rakh sakte ho.
- Aapke pc me jitne bhi software install hain unko control kar sakte ho.
- Isse aap apne pc ko on ya off bhi kar sakte ho.
Ye Bhi Pade—
Jio Me Summer Offer Kaise Activate Kare
Computer Software Ki Product Key Kaise Jaane
Top 10 Android Apps For Important Works