Doston aapko toh pata hi hoga ki Photoshop world ka no. 1 software hai.Photoshop ke ander sab photo editing software se jyada Features hain aur ispar bahut hi asani se photo banaye ja sakte hain.Photoshop ke jariye aap kisi bhi bekaar photo ko accha bana sakte ho.Aise maan lijiye ki photoshop photo edit karne ka sabse best software hai.Photoshop me kisi bhi picture ka backgroud change kiya ja sakta hai,banners bhi bana sakte hain matlab photo ko sone se heera bana sakte hain.
Photoshop Se Paise Kaise Kamate Hain
Photoshop akela ek aisa software hai jisko sabse jyada log use kar rahe hain.Dekha jaaye toh har photo studio wala bhi Photoshop ka hi prayog karta hai aur acche paise kamata hai.
Aapko toh maloom hi hoga ki kuch time pahle jab log photo shoot karwaane jaate the tab unke photo ko milne me lagbhag 5 din lag jaate the lekin ab jamana badal gaya hai jabse photoshop nikla hai tab se photo ko turant edit karke uska contrast badhaakar aur uski sabhi kamiyon ko theek karke 5 minute me teyaar karke de dete hain
Mera matlab hai ki Photoshop bahut kamaal ka software hai
Photoshop sirf Photo studio me hi nahin balki Visiting card,Web Designing,Id card aur bhi bahut saare kaam me use kiya jaata hai aur ye saare kaam India me sabse jyada popular hain.Photoshop samay ke saath aur bhi behtar hota ja raha hai kyunki Adobe company iske features ko badhaati ja rahi hai.
Photoshop Ab tak 19 Version nikaal chuka hai.Dekha jaaye toh abhi tak kisi bhi photo editing software ne itne versions nahin nikaale hain.
Doston ye thi photoshop ke baare me jankaari lekin ab me aapko bataunga ki photoshop se paise kaise kamaye jaaye.
Doston ye post sirf un logon ke liye hai jinko photoshop aata hai
Read This Articles-
Google Search Console Me Blog Ko Kaise Submit Kare
Blog Ke Liye Sitemap Kaise Banate Hain
5 Best Tareeke Photoshop Se Paise Kamane Ke
Photoshop se paise kamane ke bahut saare tareeke hain lekin me aap logon ko 5 tareeke bataunga jo sabse best hain.
1.Photoshop Tutorial
- Create Your Own Blog-Doston agar aapko photoshop ke baare me knowledge hai toh aap Apni khud ki ek website ya blog banaye aur uspar Photoshop ke baare me jankaari share kare jisse aap acchi income earn kar paoge.Website banane ke baad aapko 2 months tak uspar bahut hard work karna padhega uske baad aap ads lagakar paise kama sakte ho jaisa traffic aayega waisi hi aapki income hogi
- Youtube Channel-Youtube channel se lakhon log bahut acche paise kama rahe hain jisko jo knowledge hoti hai woh uspar video banakar youtube par upload kare toh woh apne talent se acche paise kama sakta hai.Aap bhi Photoshop ke baare me video banaiyye aur youtube par upload karte rahiye aap bhi acche paise kamane lagoge.
- Freelancer.com
- elancer.com
- Odesk.com
- Shutterstock.com
- Graphicsriver.com
- Graphicstocs.com
Hello Sir, Kafi achchha blog banaya aapne, aapki is blog se kitni earnings hojati hai.
abhi earning toh low hai lekin dheere dheere increase ho rahi hai
Usfull this post….