Hello guys aaj me aap logon ke liye bahut accha article lekar aaya hun jisme aapko ye jaanne ko milega ki Facebook account ka password kaise badle,Facebook account ka password kaise reset kare.Doston bahut baar aisa hota hai ki hum apne facebook account ka password bhool jaate hain ya phir hum facebook chalana band kar dete hain phir kuch din baad jab dowara facebook chalana chahte hain toh hum login nahin kar paate aur na hi us number se dusra account bana sakte hain us time hume sirf hamare old facebook account ka password chahiye hota hai aaj me aapko bataunga ki facebook account ka password kaise reset karte hain.
Facebook world ka sabse great social media site hai lakhon log iske jariye ek dusre se jude hue hain aur jyadatar log apni family members se hamesha jude rahne ke liye facebook aur whatsapp ka use karte hain.Aaj me aap logon ko ek bahut acchi trick batane wala hun jiske jariye aap apne facebook password ko change kar sakte hain aur easily login kar sakte hain.
Read Also — Blog Me Facebook Like Box Kaise Lagaye
Facebook Password Bhool Jaane Par Kya Kare ?
Doston jab aap apna facebook account ka password bhool jaaye toh kya kare chaliye jaante hain step by step–
Sabse pahle aap ye baat yaad rakhiye ki jis account ka password aap bhool chuke ho uska email address ya phir phone number aapke paas hona chahiye.
Step 1.Sabse pahle aap apne facebook ke login page par jaiye.
Step 2.Ab aapke saamne facebook open hogi jisme aap Forgotten Account? par click kare.
Step 3.Ab aapke saamne ek option aayega jisme aap apni facebook id ka phone number ya email address daale.
Step 4.Ab aapke saamne 3 option aayenge jinme se aap ek choose karke Next par click kar de.Yahan par aap agar Google account ke jariye login karke apna password change karna chahte ho toh pahle select kariye aur email ke jariye code lekar password reset karna chahte ho toh dusra option select kariye aur agar aap apne phone number par otp sms prapt karna chahte ho toh teesra wala select kare.
Step 5.Ab aapke saamne ek aur option aayega jisme aapko ek code daalna hai jo aapke phone number ya bhi jo bhi aapne choosr kiya tha uspar send kiya gaya hai.
- Otp code daale jo aapko send kiya gaya hai.
- Ab continue par click kare.
Step 6.Ab aapke saamne ek aur page open hoga jisme aap apna new password daale aur continue par click kare.
Bas itna sab karne ke baad aapka password change ho jaayega aur aap automatically apne facebook account me login ho jaayenge.
- Aadhar Card Kaise Download Kare
- Airtel Ki Sim Me 500 MB 3G-4G Free Internet Data Kaise Prapt Kare
- Top 5 Screen Recorder For Android Smartphone
- Facebook Ke Founder Mark Juckerberg Ki Success Story
- Play Store Kaise Hack Kare
Ummid karta hun ki aapko ye article jaroor pasand aayega plz isko share jaroor kare aur comment me bataye ki aaapko ye post kaisi lagi.
Superd Article old hai but acha likha hai
Thanks bro
Facebook account reset kaise kre