SERPs Kya Hai ? SERPs Ki Performance Increase Karne Ke Liye – Best Seo Tips

SERPs ka full name “Search Engine Results Page” hai Matlab agar koi user google par kuch bhi search karega toh jo results show honge use SERPs kahte hain.Aajki is post me aapko ye seekhne ko milega ki SERPs kya hai aur iski performance increase kaise karte hain.agar aapko kuch samajh me na aaye toh comment me pooch sakte hain

Increase your serps performance

Internet par kuch aise blogger hain jo ye sonchte hain ko Google Search Console par post ko submit karne se Post first position par aa jaati hai yahi wajah ki ab 100 me se 2 ya 3 hi blog aise hote hain jo success hote hain

Isliye Agar aap apne blog ki posts ko search me acchi position par laana chahte ho toh aapko kuch tips follow karna padengi jisse aapko blog ka SERPs performance badhega

SERPs Kya Hai ? SERPs Ki Performance Increase Karne Ki Tips

SERPs ka matlab ye hota hai ki jab hum google par kuch bhi search karte hain toh kuch results show hote hain unhe hi SERPs kahte hain.Aaj me aapko yahi bataunga ki apne blog ka seo karke SERPs ki performance kaise increase karte hain

1.Use Robot.txt File

Robot.txt ek aisi file hoti hai jo blog ko banane ke saath khud hi generate ho jaati hai.Robot.txt file ke zariye hum apne blog par jo chahe use noindex kar sakte hain matlab hume jo file search me nahin dikhani hai hum use noindex kar sakte hain.Kuch log aise hote hain jo Robot.txt file ka use sahi tareeke se nahin kar paate hain jisse unke blog ko SERPs se accha performance nahin mil paata hai

Post me Robot.txt file ka use karne ke liye aapko Google Webmaster tools Par apne blog ko verify karna hoga uske liye aap ye post pade click here

2.Add a Perfect Meta Description

Blog me Meta description code add karne se blog ko bahut fayda hota hai kyunki ye hi decide karta hai ki post ko kis position par show karna hai.Post likhte waqt hum usme jo 160 Words ka meta description add karte hain usse hamare blog ki har post ke saath search description show hota hai jo batata hai ki post kis baare me hai aisa karne se hamare blog ki SERPs performance increase hoti hai

Agar koi user search me aapki post ko dekhega toh sabse pehle aapka meta description hi padhega tab hi post par click karega agar aapka description accha nahin hua usme faaltu ke keywords ka use kiya gaya toh user aapki post par click nahin karega toh plz kaamyaab description add kare post me

3.Post Interlinking

Post me internal link add karna bhi bahut zaroori hota hai.Internal links unhe kahte hai jaise ki agar aap koi new post likh rahe ho usme apni old post ke link add karne ko hi internal link kahte hain

Kuch blogger aise hote hain jo internal link galat tareeke se add kar lete hain matlab jo unki purani post ka title hota hai bilkul wahi same title me internal link add karte hain jisse blog ka SERPs bekaar hota hai

Internal link add karne ke liye aapki new post me kuch aise keyword hona chahiye jo aapki purani post ke title se match karte hon isse users ko pata chalega ki pehle ye post padhun aise karne se aapko SERPs me bahut accha performance dekhne ko milega

4.Full Image Optimization

Maine ek post likhi seo friendly post kaise likhe jisme maine image ko seo friendly banane ke baare me bhi bataya hai toh aap ye post padh sakte ho

Agar aapki post ka image seo friendly hoga toh aapko bahut accha organic traffic milega.shayad aapko maloom na ho ki seo friendly image se 30% traffic prapt hota hai

5.Share Post On Social Networking Sites

Agar aap ek blogger hain toh aapko sabhi social sites par account banana chahiye kyunki new post create karne ke baad use social sites par share karne se aapke blog ka traffic badhega aur aapke blog ko SERPs me acchi position milegi isse aapke blog ki post ko google bahut fast index karega

Off Page Seo ke liye ye bahut hi behtar hai

toh doston mujhe poora bharosa hai ki aapko ye post bahut hi pasand aayegi is post ko padhkar aap apne blog ko aur accha bana sakte ho kyunki maine isme bloggers ke liye bahut acchi jaankaari share ki hai

post ko share zaroor kare aur agar kuch samajh me na aaye toh comment kare

hindimegyaan

Leave a Comment